mujhe to yun bhi isi rah se guzarna tha
mujhe to yuuñ bhī isī raah se guzarnā thā
dil-e-tabāh kā kuchh to ilaaj karnā thā
mirī navā se tirī niind bhī sulag uThtī
zarā sā is meñ sharāroñ kā rañg bharnā thā
sulagtī ret pe yādoñ ke naqsh kyuuñ chhoḌe
tujhe bhī gahre samundar meñ jab utarnā thā
milā na mujh ko kisī se ḳhirāj ashkoñ meñ
havā ke hāthoñ mujhe aur kuchh bikharnā thā
usī pe daaġh hazīmat ke lag ga.e dekho
yaqīñ kī aag se jis shakl ko nikharnā thā
maiñ khañDaroñ meñ use DhūñDtā phirā 'fikrī'
magar kahāñ thā vo aaseb jis se Darnā thā
mujhe to yun bhi isi rah se guzarna tha
dil-e-tabah ka kuchh to ilaj karna tha
meri nawa se teri nind bhi sulag uThti
zara sa is mein shararon ka rang bharna tha
sulagti ret pe yaadon ke naqsh kyun chhoDe
tujhe bhi gahre samundar mein jab utarna tha
mila na mujh ko kisi se KHiraj ashkon mein
hawa ke hathon mujhe aur kuchh bikharna tha
usi pe dagh hazimat ke lag gae dekho
yaqin ki aag se jis shakl ko nikharna tha
main khanDaron mein use DhunDta phira 'fikri'
magar kahan tha wo aaseb jis se Darna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.