mutakabbir na ho zardar baDi mushkil hai
mutakabbir na ho zardār baḌī mushkil hai
sab hai āsān ye sarkār baḌī mushkil hai
kufr par ḳhalq hai tayyār baḌī mushkil hai
diin bilkul nahīñ darkār baḌī mushkil hai
kaise TeḌhā na chale maar baḌī mushkil hai
sīdhī ho zulf-e-girah-dār baḌī mushkil hai
aur hoñge vo koī daam meñ aane vaale
murġh-e-dānā ho giraftār baḌī mushkil hai
dil hai ġhamnāk to kaunain hai mātam-ḳhāna
rote haiñ sab dar-o-dīvār baḌī mushkil hai
log kahte haiñ ki dil us ko na denā lekin
ba.ad iqrār kai inkār baḌī mushkil hai
sho.ala-e-husn-e-butāñ phūñk na de aalam ko
surḳh haiñ phuul se ruḳhsār baḌī mushkil hai
in dinoñ hazrat-e-yūsuf kī vo nā-qadrī hai
nahīñ buḌhiyā bhī ḳharīdār burī mushkil hai
mil ke rahnā hī nahiñ jāntā yaañ ab koī
jān-o-dil meñ bhī hai takrār baḌī mushkil hai
na taraddud kā mazā hai na sukūñ kī lazzat
kabhī va.ada kabhī inkār baḌī mushkil hai
tālib-e-sulh huuñ maiñ aur nazar tālib-e-jañg
raat din laḌne pe tayyār baḌī mushkil hai
haa.e duniyā meñ kisī meñ nahīñ itnī bhī vafā
jitnā kuttā hai vafādār baḌī mushkil hai
aaj tum teġh-ba-kaf ho to safā-chaT maidāñ
kaun marne pe ho tayyār baḌī mushkil hai
jins-e-dil bechne kī ham ko zarūrat 'parvīñ'
aur ma.adūm ḳharīdār baḌī mushkil hai
mutakabbir na ho zardar baDi mushkil hai
sab hai aasan ye sarkar baDi mushkil hai
kufr par KHalq hai tayyar baDi mushkil hai
din bilkul nahin darkar baDi mushkil hai
kaise TeDha na chale mar baDi mushkil hai
sidhi ho zulf-e-girah-dar baDi mushkil hai
aur honge wo koi dam mein aane wale
murgh-e-dana ho giraftar baDi mushkil hai
dil hai ghamnak to kaunain hai matam-KHana
rote hain sab dar-o-diwar baDi mushkil hai
log kahte hain ki dil us ko na dena lekin
baad iqrar kai inkar baDi mushkil hai
shoala-e-husn-e-butan phunk na de aalam ko
surKH hain phul se ruKHsar baDi mushkil hai
in dinon hazrat-e-yusuf ki wo na-qadri hai
nahin buDhiya bhi KHaridar buri mushkil hai
mil ke rahna hi nahin jaanta yan ab koi
jaan-o-dil mein bhi hai takrar baDi mushkil hai
na taraddud ka maza hai na sukun ki lazzat
kabhi wada kabhi inkar baDi mushkil hai
talib-e-sulh hun main aur nazar talib-e-jang
raat din laDne pe tayyar baDi mushkil hai
hae duniya mein kisi mein nahin itni bhi wafa
jitna kutta hai wafadar baDi mushkil hai
aaj tum tegh-ba-kaf ho to safa-chaT maidan
kaun marne pe ho tayyar baDi mushkil hai
jins-e-dil bechne ki hum ko zarurat 'parwin'
aur madum KHaridar baDi mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.