na hote rind gar saqi to maiKHane kahan jate
na hote rind gar saaqī to maiḳhāne kahāñ jaate
surāhī kis ke ghar jaatī ye paimāne kahāñ jaate
pata manzil kā miltā hai to dīvānoñ se miltā hai
na hote gar ye dīvāne to farzāne kahāñ jaate
tumhāre āriz-e-tābāñ harīf-e-sham.a-e-mahfil haiñ
na aate khich ke parvāne ḳhudā jaane kahāñ jaate
mire mamnūn haiñ dasht-o-bayābāñ ek muddat se
chaman meñ gar bahal jaatā to vīrāne kahāñ jaate
tumhārī zulf ke ḳham halqa-e-zanjīr-e-zindāñ haiñ
na aate dām-e-gesū meñ to dīvāne kahāñ jaate
pata dil kā hamāre aap ko ma.alūm thā varna
nazar ke tiir le kar shauq farmāne kahāñ jaate
buḌhāpe meñ javānī kā zamāna yaad aatā hai
magar 'āzād' vo lamhāt phir laane kahāñ jaate
na hote rind gar saqi to maiKHane kahan jate
surahi kis ke ghar jati ye paimane kahan jate
pata manzil ka milta hai to diwanon se milta hai
na hote gar ye diwane to farzane kahan jate
tumhaare aariz-e-taban harif-e-shama-e-mahfil hain
na aate khich ke parwane KHuda jaane kahan jate
mere mamnun hain dasht-o-bayaban ek muddat se
chaman mein gar bahal jata to virane kahan jate
tumhaari zulf ke KHam halqa-e-zanjir-e-zindan hain
na aate dam-e-gesu mein to diwane kahan jate
pata dil ka hamare aap ko malum tha warna
nazar ke tir le kar shauq farmane kahan jate
buDhape mein jawani ka zamana yaad aata hai
magar 'azad' wo lamhat phir lane kahan jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.