na jaane dil kahan rahne laga hai
na jaane dil kahāñ rahne lagā hai
ka.ī din se badan suunā paḌā hai
kisī jañgal meñ kyuuñ jaatā nahīñ hai
are ye peḌ kyuuñ tanhā khaḌā hai
muñDeroñ pe kabūtar nāchte haiñ
kivāḌoñ par siyah taalā paḌā hai
koī to ghar kī sham.oñ ko jalā.e
darīchoñ meñ añdherā ho chalā hai
ye dīvāreñ bhī ab girne lagī haiñ
yahāñ bhī vaqt kā saayā paḌā hai
chalā-chal dekh Das jaa.e na tujh ko
tire pīchhe tirā saayā lagā hai
sanobar kī ghanī shāḳhoñ pe 'alvī'
parindoñ kā ajab melā lagā hai
na jaane dil kahan rahne laga hai
kai din se badan suna paDa hai
kisi jangal mein kyun jata nahin hai
are ye peD kyun tanha khaDa hai
munDeron pe kabutar nachte hain
kiwaDon par siyah tala paDa hai
koi to ghar ki shamon ko jalae
darichon mein andhera ho chala hai
ye diwaren bhi ab girne lagi hain
yahan bhi waqt ka saya paDa hai
chala-chal dekh Das jae na tujh ko
tere pichhe tera saya laga hai
sanobar ki ghani shaKHon pe 'alwi'
parindon ka ajab mela laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.