na khule uqda-ha-e-naz-o-niyaz
na khule uqdā-hā-e-nāz-o-niyāz
husn bhī raaz aur ishq bhī raaz
raaz kī justujū meñ martā huuñ
aur maiñ ḳhud huuñ ek parda-e-rāz
bāl-o-par meñ magar kahāñ paa.eñ
bū-e-gul yaanī himmat-e-parvāz
sāz-e-dil kyā huā vo TuuTā sā
saarī hastī hai gosh-bar-āvāz
lazzat-e-sajda-hā-e-shauq na pūchh
haa.e vo ittisāl-e-nāz-o-niyāz
dekh rānā.i-e-haqīqat ko
ishq ne bhar diyā hai rañg-e-majāz
sāz-e-hastī kā jā.eza kaisā
taar kyā dekh taar kī āvāz
na khule uqda-ha-e-naz-o-niyaz
husn bhi raaz aur ishq bhi raaz
raaz ki justuju mein marta hun
aur main KHud hun ek parda-e-raaz
baal-o-par mein magar kahan paen
bu-e-gul yani himmat-e-parwaz
saz-e-dil kya hua wo TuTa sa
sari hasti hai gosh-bar-awaz
lazzat-e-sajda-ha-e-shauq na puchh
hae wo ittisal-e-naz-o-niyaz
dekh ranai-e-haqiqat ko
ishq ne bhar diya hai rang-e-majaz
saz-e-hasti ka jaeza kaisa
tar kya dekh tar ki aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.