na pher yun nigah tu karam zara sa rahne de
na pher yuuñ nigāh tū karam zarā sā rahne de
hamārā rishta hai abhī bharam zarā sā rahne de
bichhaḌne kī vajah thī kyā ye bhuul jaate haiñ magar
jo us ke saath hai juḌā vo ġham zarā sā rahne de
terī ḳhushī ke vāste maiñ sau sau baar mar-miTūñ
to is junūn-e-ishq ko sanam zarā sā rahne de
tū jā rahā hai chhoḌ ke to jā ye hai ḳhushī terī
magar merī in āñkhoñ ko tū nam zarā sā rahne de
akelā-pan ye ḳhālī ghar ye sofa mez yādeñ ḳhat
hai in se naatā aaj bhī bharam zarā sā rahne de
karam baḌā ho ye tirā jo merī jholī tū bhare
ye rūkhā-pan ye rūThnā sitam zarā sā rahne de
yaqīñ hai phir mileñge ham kahīñ kisī jahān meñ
baḌā hī pyārā ḳhvāb hai sanam zarā sā rahne de
na pher yun nigah tu karam zara sa rahne de
hamara rishta hai abhi bharam zara sa rahne de
bichhaDne ki wajah thi kya ye bhul jate hain magar
jo us ke sath hai juDa wo gham zara sa rahne de
teri KHushi ke waste main sau sau bar mar-miTun
to is junun-e-ishq ko sanam zara sa rahne de
tu ja raha hai chhoD ke to ja ye hai KHushi teri
magar meri in aankhon ko tu nam zara sa rahne de
akela-pan ye KHali ghar ye sofa mez yaaden KHat
hai in se nata aaj bhi bharam zara sa rahne de
karam baDa ho ye tera jo meri jholi tu bhare
ye rukha-pan ye ruThna sitam zara sa rahne de
yaqin hai phir milenge hum kahin kisi jahan mein
baDa hi pyara KHwab hai sanam zara sa rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.