nahin dete kiraya sal bhar se
nahīñ dete kirāya saal bhar se
kaho un se ki nikleñ mere ghar se
marī jaatī huuñ sohbat ke asar se
jhukā jaatā nahīñ ab to kamar se
duā.eñ kar rahī huuñ sāl-bhar se
ilāhī jald aa.eñ vo safar se
tumheñ tab qadr hogī aabrū kī
guzar jā.egā jab paanī kamar se
nahīñ achchhe ye faaqe tiis din ke
miyāñ ramzān nikleñ mere ghar se
girī thī bach ga.ī masjid se guyyāñ
phirī huuñ maiñ ḳhudā ke aaj ghar se
tirā laḌkā tamāshe kā hai nargis
ḳhudā mahfūz rakkhe bad-nazar se
kisī ke kahne sunñe par na jaao
na jab tak dekh lo apnī nazar se
kahe ye kaun raaja jī se Dhāñko
khisak aaya hai pājāma kamar se
gilā āñkhoñ kā palkoñ se karoge
girā dūñgī agar tum ko nazar se
ḳhushī is kī hai mujh ko ai dogānā
milā hai ghar mirā 'shaidā' ke ghar se
nahin dete kiraya sal bhar se
kaho un se ki niklen mere ghar se
mari jati hun sohbat ke asar se
jhuka jata nahin ab to kamar se
duaen kar rahi hun sal-bhar se
ilahi jald aaen wo safar se
tumhein tab qadr hogi aabru ki
guzar jaega jab pani kamar se
nahin achchhe ye faqe tis din ke
miyan ramzan niklen mere ghar se
giri thi bach gai masjid se guyyan
phiri hun main KHuda ke aaj ghar se
tera laDka tamashe ka hai nargis
KHuda mahfuz rakkhe bad-nazar se
kisi ke kahne sunne par na jao
na jab tak dekh lo apni nazar se
kahe ye kaun raja ji se Dhanko
khisak aaya hai pajama kamar se
gila aankhon ka palkon se karoge
gira dungi agar tum ko nazar se
KHushi is ki hai mujh ko ai dogana
mila hai ghar mera 'shaida' ke ghar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.