nahin kuchh aur to apne qarin pahunch sakte
nahīñ kuchh aur to apne qarīñ pahuñch sakte
jahāñ hamārī pahuñch hai vahīñ pahuñch sakte
kiran se tez hai raftār be-ḳhayālī kī
hamārī gard ko taare nahīñ pahuñch sakte
hameñ kahīñ na pahuñchne diyā tasāhul ne
badan na hotā to shāyad kahīñ pahuñch sakte
tanāzurāt pe rote ziyāda bolte kam
hamārī chup ko agar nukta-chīñ pahuñch sakte
umuq meñ itnī to hotī uchhāl kī quvvat
ki sat.h tak bhī tire tah-nashīñ pahuñch sakte
na ḳhaak phāñkte vahmoñ kī band galiyoñ meñ
kabhī jo tum sar-e-bāb-e-yaqīñ pahuñch sakte
talāzumāt se ho kar na jaanā paḌtā hameñ
ham apnī ramz ko apne ta.iiñ pahuñch sakte
nikal na paate agar aks-āfrīnī se
to asl tak na shabīh-āfrīñ pahuñch sakte
vahāñ ke shahr-e-ajā.ib meñ ghūmte mil kar
nashebī ziine se zer-e-zamīñ pahuñch sakte
pahuñch meñ hotī rasā.ī bhī nā-rasā.ī bhī
kahīñ pahuñch nahīñ sakte kahīñ pahuñch sakte
to phir ye saarī siyāhat fuzūl hai 'shāhid'
agar ham apnī fazā tak nahīñ pahuñch sakte
nahin kuchh aur to apne qarin pahunch sakte
jahan hamari pahunch hai wahin pahunch sakte
kiran se tez hai raftar be-KHayali ki
hamari gard ko tare nahin pahunch sakte
hamein kahin na pahunchne diya tasahul ne
badan na hota to shayad kahin pahunch sakte
tanazuraat pe rote ziyaada bolte kam
hamari chup ko agar nukta-chin pahunch sakte
umuq mein itni to hoti uchhaal ki quwwat
ki sath tak bhi tere tah-nashin pahunch sakte
na KHak phankte wahmon ki band galiyon mein
kabhi jo tum sar-e-bab-e-yaqin pahunch sakte
talazumat se ho kar na jaana paDta hamein
hum apni ramz ko apne tain pahunch sakte
nikal na pate agar aks-afrini se
to asl tak na shabih-afrin pahunch sakte
wahan ke shahr-e-ajaib mein ghumte mil kar
nashebi zine se zer-e-zamin pahunch sakte
pahunch mein hoti rasai bhi na-rasai bhi
kahin pahunch nahin sakte kahin pahunch sakte
to phir ye sari siyahat fuzul hai 'shahid'
agar hum apni faza tak nahin pahunch sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.