ohde se madh-e-naz ke bahar na aa saka
ohde se mad.h-e-nāz ke bāhar na aa sakā
gar ik adā ho to use apnī qazā kahūñ
halqe haiñ chashm-hā-e-kushāda ba-sū-e-dil
har tār-e-zulf ko nigah-e-surma-sā kahūñ
maiñ aur sad-hazār navā-e-jigar-ḳharāsh
tū aur ek vo na-shunīdan ki kyā kahūñ
zālim mire gumāñ se mujhe munfa.il na chaah
hai hai ḳhudā-na-karda tujhe bevafā kahūñ
ohde se madh-e-naz ke bahar na aa saka
gar ek ada ho to use apni qaza kahun
halqe hain chashm-ha-e-kushada ba-su-e-dil
har tar-e-zulf ko nigah-e-surma-sa kahun
main aur sad-hazar nawa-e-jigar-KHarash
tu aur ek wo na-shunidan ki kya kahun
zalim mere guman se mujhe munfail na chah
hai hai KHuda-na-karda tujhe bewafa kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.