panw mein tare bandh jaen to dariya daman hoga
paañv meñ taare bañdh jaa.eñ to dariyā dāman hogā
kin chāñdoñ kā nuur churā kar siina raushan hogā
ḳhvāb ke hauzoñ ke andar hī hai aañsū kā halqa
ġhaar se bāhar niklegā to chehra madfan hogā
aañkh falak pakḌegī par haa.e qadmoñ kī qismat
paañv se jangal lipTeñge aur sar par sāvan hogā
barf pahāḌoñ par pighlegī siine meñ ummīdeñ
sard havāoñ meñ nagrī kī saañs kā īñdhan hogā
dard kā kanThā chanchal naarī ko būḌhā kar degā
phuul se māthe kī chūḌī meñ zaḳhm kā roġhan hogā
panw mein tare bandh jaen to dariya daman hoga
kin chandon ka nur chura kar sina raushan hoga
KHwab ke hauzon ke andar hi hai aansu ka halqa
ghaar se bahar niklega to chehra madfan hoga
aankh falak pakDegi par hae qadmon ki qismat
panw se jangal lipTenge aur sar par sawan hoga
barf pahaDon par pighlegi sine mein ummiden
sard hawaon mein nagri ki sans ka indhan hoga
dard ka kanTha chanchal nari ko buDha kar dega
phul se mathe ki chuDi mein zaKHm ka roghan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.