pahle muft mein pyas baTegi
pahle muft meñ pyaas baTegī
ba.ad meñ ik-ik buuñd bikegī
kitne hasīñ ho māshā-allāh
tum pe mohabbat ḳhuub jachegī
zālim bas itnā batlā de
kyā rone kī chhūT milegī
aaj to patthar bāñdh liyā hai
lekin kal phir bhuuk lagegī
maiñ bhī pāgal tū bhī pāgal
ham donoñ kī ḳhuub jamegī
yaar ne paanī pher diyā hai
ḳhaak hamārī ḳhaak uḌegī
duniyā ko aise bhūlūñgā
duniyā mujh ko yaad karegī
pahle muft mein pyas baTegi
baad mein ik-ik bund bikegi
kitne hasin ho masha-allah
tum pe mohabbat KHub jachegi
zalim bas itna batla de
kya rone ki chhuT milegi
aaj to patthar bandh liya hai
lekin kal phir bhuk lagegi
main bhi pagal tu bhi pagal
hum donon ki KHub jamegi
yar ne pani pher diya hai
KHak hamari KHak uDegi
duniya ko aise bhulunga
duniya mujh ko yaad karegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.