pairon ko mere dida-e-tar bandhe hue hai
pairoñ ko mire dīda-e-tar bāñdhe hue hai
zanjīr kī sūrat mujhe ghar bāñdhe hue hai
har chehre meñ aatā hai nazar ek hī chehrā
lagtā hai koī merī nazar bāñdhe hue hai
bichhḌeñge to mar jā.eñge ham donoñ bichhaḌ kar
ik Dor meñ ham ko yahī Dar bāñdhe hue hai
parvāz kī tāqat bhī nahīñ baaqī hai lekin
sayyād abhī tak mire par bāñdhe hue hai
ham haiñ ki kabhī zabt kā dāman nahīñ chhoḌā
dil hai ki dhaḌakne pe kamar bāñdhe hue hai
āñkheñ to use ghar se nikalne nahīñ detīñ
aañsū hai ki sāmān-e-safar bāñdhe hue hai
pheñkī na 'munavvar' ne buzurgoñ kī nishānī
dastār purānī hai magar bāñdhe hue hai
pairon ko mere dida-e-tar bandhe hue hai
zanjir ki surat mujhe ghar bandhe hue hai
har chehre mein aata hai nazar ek hi chehra
lagta hai koi meri nazar bandhe hue hai
bichhDenge to mar jaenge hum donon bichhaD kar
ek Dor mein hum ko yahi Dar bandhe hue hai
parwaz ki taqat bhi nahin baqi hai lekin
sayyaad abhi tak mere par bandhe hue hai
hum hain ki kabhi zabt ka daman nahin chhoDa
dil hai ki dhaDakne pe kamar bandhe hue hai
aankhen to use ghar se nikalne nahin detin
aansu hai ki saman-e-safar bandhe hue hai
phenki na 'munawwar' ne buzurgon ki nishani
dastar purani hai magar bandhe hue hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.