pareshan ho ke meri KHak aaKHir dil na ban jae
Interesting Fact
Baal-e-Gibril
pareshāñ ho ke merī ḳhaak āḳhir dil na ban jaa.e
jo mushkil ab hai yā rab phir vahī mushkil na ban jaa.e
na kar deñ mujh ko majbūr-e-navā firdaus meñ hūreñ
mirā soz-e-darūñ phir garmi-e-mahfil na ban jaa.e
kabhī chhoḌī huī manzil bhī yaad aatī hai raahī ko
khaTak sī hai jo siine meñ ġham-e-manzil na ban jaa.e
banāyā ishq ne dariyā-e-nā-paidā-karāñ mujh ko
ye merī ḳhud-nigah-dārī mirā sāhil na ban jaa.e
kahīñ is ālam-e-be-rañg-o-bū meñ bhī talab merī
vahī afsāna-e-dumbāla-e-mahmil na ban jaa.e
urūj-e-ādam-e-ḳhākī se anjum sahme jaate haiñ
ki ye TuuTā huā taarā mah-e-kāmil na ban jaa.e
pareshan ho ke meri KHak aaKHir dil na ban jae
jo mushkil ab hai ya rab phir wahi mushkil na ban jae
na kar den mujh ko majbur-e-nawa firdaus mein huren
mera soz-e-darun phir garmi-e-mahfil na ban jae
kabhi chhoDi hui manzil bhi yaad aati hai rahi ko
khaTak si hai jo sine mein gham-e-manzil na ban jae
banaya ishq ne dariya-e-na-paida-karan mujh ko
ye meri KHud-nigah-dari mera sahil na ban jae
kahin is aalam-e-be-rang-o-bu mein bhi talab meri
wahi afsana-e-dumbaala-e-mahmil na ban jae
uruj-e-adam-e-KHaki se anjum sahme jate hain
ki ye TuTa hua tara mah-e-kaamil na ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.