phir yun hua ki zindagi meri nahin rahi
phir yuuñ huā ki zindagī merī nahīñ rahī
us kī nahīñ rahī to kisī kī nahīñ rahī
vo ham-safar thā kashtī pe māñjhī bhī thā vahī
dariyā vahī hai maiñ bhī huuñ kashtī nahīñ rahī
badlā jo us kā lahja to sab kuchh badal gayā
chāhat meñ Dhal ke jaisī thī vaisī nahīñ rahī
peḌoñ meñ chhāñv phuul meñ ḳhushbū hai apnā rañg
vīrānī baḌh ga.ī hai ki bastī nahīñ rahī
kachche makān jaise gharauñde se kheltī
puḳhta huā jo sahn to miTTī nahīñ rahī
ik e'tirāf-e-ishq thā jo kar nahīñ sakī
ḳhāmosh is liye huuñ ki sachchī nahīñ rahī
phir yun hua ki zindagi meri nahin rahi
us ki nahin rahi to kisi ki nahin rahi
wo ham-safar tha kashti pe manjhi bhi tha wahi
dariya wahi hai main bhi hun kashti nahin rahi
badla jo us ka lahja to sab kuchh badal gaya
chahat mein Dhal ke jaisi thi waisi nahin rahi
peDon mein chhanw phul mein KHushbu hai apna rang
virani baDh gai hai ki basti nahin rahi
kachche makan jaise gharaunde se khelti
puKHta hua jo sahn to miTTi nahin rahi
ek e'tiraf-e-ishq tha jo kar nahin saki
KHamosh is liye hun ki sachchi nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.