pyar ki nai dastak dil pe phir sunai di
pyaar kī na.ī dastak dil pe phir sunā.ī dī
chāñd sī koī sūrat ḳhvāb meñ dikhā.ī dī
kis ne merī palkoñ pe titliyoñ ke par rakkhe
aaj apnī aahaT bhī der tak sunā.ī dī
ham ġharīb logoñ ke aaj bhī vahī din haiñ
pahle kyā asīrī thī aaj kyā rihā.ī dī
bārishoñ ke chehre par āñsuoñ se likhnā hai
kuchh na koī paḌh paa.e aisī raushnā.ī dī
āsmāñ zamīñ rakh kar donoñ ek muTThī meñ
ik zarā sī laḌkī ne pyaar kī ḳhudā.ī dī
ye tunak-mizājī to ḳhair us kī fitrat hai
varna us ne chāhat bhī ham ko intihā.ī dī
ye tanāv qudrat ne do diloñ meñ kyuuñ rakkhā
mujh ko kaj-kulāhī dī us ko kaj-adā.ī dī
pyar ki nai dastak dil pe phir sunai di
chand si koi surat KHwab mein dikhai di
kis ne meri palkon pe titliyon ke par rakkhe
aaj apni aahaT bhi der tak sunai di
hum gharib logon ke aaj bhi wahi din hain
pahle kya asiri thi aaj kya rihai di
barishon ke chehre par aansuon se likhna hai
kuchh na koi paDh pae aisi raushnai di
aasman zamin rakh kar donon ek muTThi mein
ek zara si laDki ne pyar ki KHudai di
ye tunak-mizaji to KHair us ki fitrat hai
warna us ne chahat bhi hum ko intihai di
ye tanaw qudrat ne do dilon mein kyun rakkha
mujh ko kaj-kulahi di us ko kaj-adai di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.