pyas baDhti hui ta-hadd-e-nazar pani tha
pyaas baḌhtī huī tā-hadd-e-nazar paanī thā
rū-ba-rū kaisā ajab manzar-e-hairānī thā
rāsta band thā aur shauq-e-safar thā baaqī
ek afsāna junūñ kā thā jo tūlānī thā
ek ḳhushbū thī jo malbūs pe tābinda thī
ek mausam thā mire sar pe jo tūfānī thā
dam-ba-ḳhud ek tamāshā-e-fanā thā har-sū
shor kartā huā ik shauq-e-jahāñbānī thā
ḳhud-pasandī kā ajab vahm thā sab par taarī
jaise koī bhī kisī kā na yahāñ saanī thā
pyas baDhti hui ta-hadd-e-nazar pani tha
ru-ba-ru kaisa ajab manzar-e-hairani tha
rasta band tha aur shauq-e-safar tha baqi
ek afsana junun ka tha jo tulani tha
ek KHushbu thi jo malbus pe tabinda thi
ek mausam tha mere sar pe jo tufani tha
dam-ba-KHud ek tamasha-e-fana tha har-su
shor karta hua ek shauq-e-jahanbani tha
KHud-pasandi ka ajab wahm tha sab par tari
jaise koi bhi kisi ka na yahan sani tha
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.