qaid-KHane ki hawa mein shor hai aalam ka
qaid-ḳhāne kī havā meñ shor hai ālām kā
bhed khultā kyuuñ nahīñ ai dil tire ārām kā
fāḳhtā.eñ boltī haiñ bajroñ ke des meñ
tū bhī sun le āsmāñ ye giit mere naam kā
ThanDe paanī ke gagan meñ sātvīñ kā chāñd hai
yā girā hai barf meñ kingrā tumhāre baam kā
kūktā phirtā hai koī dhuup kī galiyoñ meñ shaḳhs
sun liyā hai us ne shāyad haal merī shaam kā
qaid-KHane ki hawa mein shor hai aalam ka
bhed khulta kyun nahin ai dil tere aaram ka
faKHtaen bolti hain bajron ke des mein
tu bhi sun le aasman ye git mere nam ka
ThanDe pani ke gagan mein satwin ka chand hai
ya gira hai barf mein kingra tumhaare baam ka
kukta phirta hai koi dhup ki galiyon mein shaKHs
sun liya hai us ne shayad haal meri sham ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.