Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqam itni ikaTThi ho gai thi

Khalid Mahboob

raqam itni ikaTThi ho gai thi

Khalid Mahboob

MORE BYKhalid Mahboob

    raqam itnī ikaTThī ho ga.ī thī

    magar vo chiiz mahñgī ho ga.ī thī

    ham itnī garm-joshī se mile the

    hamārī chaa.e ThanDī ho ga.ī thī

    tumhāre ba.ad jitnā ro.e the ham

    tabī.at utnī achchhī ho ga.ī thī

    samajh kar ham davā.ī ga.e the

    tumhārī baat kaḌvī ho ga.ī thī

    palaT aanā bantā thā vahāñ se

    hamāre saath jitnī ho ga.ī thī

    huī thī der se ham ko mohabbat

    hamārī jald shādī ho ga.ī thī

    sabhī mahbūb uTh kar rahe the

    kahānī itnī lambī ho ga.ī thī

    raqam itni ikaTThi ho gai thi

    magar wo chiz mahngi ho gai thi

    hum itni garm-joshi se mile the

    hamari chae ThanDi ho gai thi

    tumhaare baad jitna roe the hum

    tabiat utni achchhi ho gai thi

    samajh kar hum dawai pi gae the

    tumhaari baat kaDwi ho gai thi

    palaT aana hi banta tha wahan se

    hamare sath jitni ho gai thi

    hui thi der se hum ko mohabbat

    hamari jald shadi ho gai thi

    sabhi mahbub uTh kar ja rahe the

    kahani itni lambi ho gai thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now