sari raat ke bikhre hue shiraaze par rakkhi hain
saarī raat ke bikhre hue shīrāze par rakkhī haiñ
pyaar kī jhūTī ummīdeñ ḳhamiyāze par rakkhī haiñ
koī to apnā va.ada hī āsānī se bhuul gayā
aur kisī kī do āñkheñ darvāze par rakkhī haiñ
us ke ḳhvāb haqīqat haiñ us kī zaat mukammal hai
aur hamārī sab ḳhushiyāñ andāze par rakkhī haiñ
sari raat ke bikhre hue shiraaze par rakkhi hain
pyar ki jhuTi ummiden KHamiyaze par rakkhi hain
koi to apna wada hi aasani se bhul gaya
aur kisi ki do aankhen darwaze par rakkhi hain
us ke KHwab haqiqat hain us ki zat mukammal hai
aur hamari sab KHushiyan andaze par rakkhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.