safar se lauT jaana chahta hai
safar se lauT jaanā chāhtā hai
parinda āshiyāna chāhtā hai
koī schōl kī ghanTī bajā de
ye bachcha muskurānā chāhtā hai
use rishte thamā detī hai duniyā
jo do paise kamānā chāhtā hai
yahāñ sāñsoñ ke laale paḌ rahe haiñ
vo pāgal zahr khānā chāhtā hai
jise bhī Dūbnā ho Duub jaa.e
samundar suukh jaanā chāhtā hai
hamārā haq dabā rakkhā hai jis ne
sunā hai haj ko jaanā chāhtā hai
safar se lauT jaana chahta hai
parinda aashiyana chahta hai
koi school ki ghanTi baja de
ye bachcha muskurana chahta hai
use rishte thama deti hai duniya
jo do paise kamana chahta hai
yahan sanson ke lale paD rahe hain
wo pagal zahr khana chahta hai
jise bhi Dubna ho Dub jae
samundar sukh jaana chahta hai
hamara haq daba rakkha hai jis ne
suna hai haj ko jaana chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.