shifa ka marhala aazar nikla
shifā kā marhala āzār niklā
masīhā aap hī bīmār niklā
karam kī dāstānoñ ke muqābil
sitam nā-qābil-e-iz.hār niklā
dikhā.ī detā thā ik mard-e-maidāñ
magar vo ġhāzī-e-guftār niklā
mohabbat saat pardoñ meñ chhupā kar
koī rusvā sar-e-bāzār niklā
jise samjhe the ham shāyān-e-jannat
zamāna vo zavāl-āsār niklā
ba-zāhir to koī ḳhāmī nahīñ thī
ye bātin koī bad-atvār niklā
‘malik’ kitnā hī samjhāyā na maanā
hamārā dil bhī nā-hanjār niklā
shifa ka marhala aazar nikla
masiha aap hi bimar nikla
karam ki dastanon ke muqabil
sitam na-qabil-e-izhaar nikla
dikhai deta tha ek mard-e-maidan
magar wo ghazi-e-guftar nikla
mohabbat sat pardon mein chhupa kar
koi ruswa sar-e-bazar nikla
jise samjhe the hum shayan-e-jannat
zamana wo zawal-asar nikla
ba-zahir to koi KHami nahin thi
ye baatin koi bad-atwar nikla
‘malik’ kitna hi samjhaya na mana
hamara dil bhi na-hanjar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.