shor ab aalam mein hai us shobada-pardaz ka
shor ab aalam meñ hai us shobada-pardāz kā
charḳh bhī ik shobada hai jis sarāpā naaz kā
sāda-rūī qahr thī aur us pe ab aayā hai ḳhat
dekhiye anjām kyā hotā hai is āġhāz kā
tiir hove jis kī mizhgāñ aur ho abrū kamāñ
dil na ho qurbān kyuuñ kar aise tīr-andāz kā
us ke shāhīn-e-nigah ko tā.ir-e-dil ke liye
panja-e-mizhgāñ nahīñ goyā hai chuñgul-bāz kā
'aish' mujh ko be-par-o-bālī par-e-parvāz hai
maiñ nahīñ mohtāj kuchh bāl-o-par-e-parvāz kā
shor ab aalam mein hai us shobada-pardaz ka
charKH bhi ek shobada hai jis sarapa naz ka
sada-rui qahr thi aur us pe ab aaya hai KHat
dekhiye anjam kya hota hai is aaghaz ka
tir howe jis ki mizhgan aur ho abru kaman
dil na ho qurban kyun kar aise tir-andaz ka
us ke shahin-e-nigah ko tair-e-dil ke liye
panja-e-mizhgan nahin goya hai chungul-baz ka
'aish' mujh ko be-par-o-baali par-e-parwaz hai
main nahin mohtaj kuchh baal-o-par-e-parwaz ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.