sundar komal sapnon ki baraat guzar gai jaanan
sundar komal sapnoñ kī bārāt guzar ga.ī jānāñ
dhuup āñkhoñ tak aa pahuñchī hai raat guzar ga.ī jānāñ
bhor samay tak jis ne hameñ bāham uljhā.e rakkhā
vo albelī resham aisī baat guzar ga.ī jānāñ
sadā kī dekhī raat hameñ is baar milī to chupke se
ḳhālī baat pe rakh ke kyā sauġhāt guzar ga.ī jānāñ
kis koñpal kī aas meñ ab tak vaise hī sarsabz ho tum
ab to dhuup kā mausam hai barsāt guzar ga.ī jānāñ
log na jaane kin rātoñ kī murādeñ māñgā karte haiñ
apnī raat to vo jo tere saat guzar ga.ī jānāñ
ab to faqat sayyād kī dildārī kā bahāna hai varna
ham ko daam meñ laane vaalī ghaat guzar ga.ī jānāñ
sundar komal sapnon ki baraat guzar gai jaanan
dhup aankhon tak aa pahunchi hai raat guzar gai jaanan
bhor samay tak jis ne hamein baham uljhae rakkha
wo albeli resham aisi baat guzar gai jaanan
sada ki dekhi raat hamein is bar mili to chupke se
KHali baat pe rakh ke kya saughat guzar gai jaanan
kis konpal ki aas mein ab tak waise hi sarsabz ho tum
ab to dhup ka mausam hai barsat guzar gai jaanan
log na jaane kin raaton ki muraden manga karte hain
apni raat to wo jo tere sat guzar gai jaanan
ab to faqat sayyaad ki dildari ka bahana hai warna
hum ko dam mein lane wali ghat guzar gai jaanan
- Book : kulliyat-e-tamaam-sad barg (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.