ta-hadd-e-nazar chandni is tarah khuli hai
tā-hadd-e-nazar chāñdnī is tarah khulī hai
jaise tire hoñToñ kī hañsī phail ga.ī hai
utnī hī nigāhoñ kī mirī pyaas baḌhī hai
jitnī ki tujhe dekh ke taskīn huī hai
kahne ko to ḳhvāboñ meñ mirī umr kaTī hai
lekin mire ḳhvāboñ kī bahut umr baḌī hai
zulfoñ pe rukūñ yā tire ruḳhsār pe Thahrūñ
jis jā se guzar kījiye ik dhuum machī hai
ik umr to guzrī hai tujhe dekhte lekin
jab dekhiye tab baat koī tujh meñ na.ī hai
lauT aayā huuñ jā jā ke tire dar se ka.ī baar
jab terī mohabbat meñ mirī jaañ pe banī hai
vo ilm ho yā fan ho koī chiiz ho yaaro
shāmil na ho gar husn to har shai meñ kamī hai
pākīzgī-e-dil ke sivā kuchh nahīñ firdaus
dozaḳh hai vo dil jis meñ mohabbat kī kamī hai
jis dar ke sivā hech thī taḳhlīq-e-do-ālam
us dar se 'shahāb' aas bhī ab TuuT ga.ī hai
ta-hadd-e-nazar chandni is tarah khuli hai
jaise tere honTon ki hansi phail gai hai
utni hi nigahon ki meri pyas baDhi hai
jitni ki tujhe dekh ke taskin hui hai
kahne ko to KHwabon mein meri umr kaTi hai
lekin mere KHwabon ki bahut umr baDi hai
zulfon pe rukun ya tere ruKHsar pe Thahrun
jis ja se guzar kijiye ek dhum machi hai
ek umr to guzri hai tujhe dekhte lekin
jab dekhiye tab baat koi tujh mein nai hai
lauT aaya hun ja ja ke tere dar se kai bar
jab teri mohabbat mein meri jaan pe bani hai
wo ilm ho ya fan ho koi chiz ho yaro
shamil na ho gar husn to har shai mein kami hai
pakizgi-e-dil ke siwa kuchh nahin firdaus
dozaKH hai wo dil jis mein mohabbat ki kami hai
jis dar ke siwa hech thi taKHliq-e-do-alam
us dar se 'shahab' aas bhi ab TuT gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.