aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

josh par yun jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya

Boom Merathi

josh par yun jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    josh par yuuñ jazba-e-be-iḳhtiyār aa gayā

    dekh kar un ko barahna mujh ko pyaar aa gayā

    ġhair jab ḳhalvat se niklā dauḌ kar maiñ ne kahā

    dūsrā bhī aap umīd-vār aa gayā

    thā nazākat se bahut majbūr phir bhī bād-e-marg

    saalā uThtā baiThtā sū-e-mazār aa gayā

    us siine se lipaTnā thā ki taskīñ ho ga.ī

    be-qarārī ko mirī kuchh to qarār aa gayā

    intizārī meñ kisī ke raat bhar taḌpā kiye

    jhūTe va.ade kisī ke e'tibār aa gayā

    un bīmār-e-mohabbat sunte elān-e-dīd

    thaam kar dil girtā paḌtā be-qarār aa gayā

    ḳhauf-e-badnāmī se go aksar chhupāyā jurm ko

    lab par un naam phir bhī baar baar aa gayā

    josh par yun jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya

    dekh kar un ko barahna mujh ko pyar aa hi gaya

    ghair jab KHalwat se nikla dauD kar main ne kaha

    dusra bhi aap ka umid-war aa hi gaya

    tha nazakat se bahut majbur phir bhi baad-e-marg

    sala uThta baiThta su-e-mazar aa hi gaya

    us ka sine se lipaTna tha ki taskin ho gai

    be-qarari ko meri kuchh to qarar aa hi gaya

    intizari mein kisi ke raat bhar taDpa kiye

    jhuTe wade ka kisi ke e'tibar aa hi gaya

    un ka bimar-e-mohabbat sunte hi elan-e-did

    tham kar dil girta paDta be-qarar aa hi gaya

    KHauf-e-badnami se go aksar chhupaya jurm ko

    lab par un ka nam phir bhi bar bar aa hi gaya

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Boom (Pg. 54)

      • Publisher: Jawahar Book Depot, Meerut
      • Year of Publication: 1980

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now