tere hathon se miTega naqsh-e-hasti ek din
tere hāthoñ se miTegā naqsh-e-hastī ek din
baaḌh rakh degī chhurī par tez-dastī ek din
terī āñkhoñ se dil-e-nāzuk giregā nashshe meñ
taaq se shīsha girā degī ye mastī ek din
zāhido puujā tumhārī ḳhuub hogī hashr meñ
but banā degī tumheñ ye haq-parastī ek din
āñkheñ dozaḳh meñ bhī señkegā tirā dil-soḳhta
aag ban jā.egī ye ātish-prastī ek din
ḳhūbī-e-shamshīr-e-abrū kā tamāshā dekhte
donoñ bāgoñ aap kī talvār kastī ek din
ḳhuun merā rā.egāñ nāhaq bahāte haiñ huzūr
karnī hai rañg-e-hinā kī pesh-dastī ek din
jild-e-pistāñ tak mirā kab tak na hogā dastaras
in turanjoñ kī bhī qīmat hogī sastī ek din
zulf-e-kāfir-kesh lipTegī qadam se ai sanam
hindu-e-shab bhī karegā but-parastī ek din
jaan baḳhsho sar mire lāshe kā Thukrāo kabhī
sāġhar-e-ḳhālī meñ bhar do shahd-e-hastī ek din
nīlgūñ kar deñge mal kar chhātiyāñ ai rashk-e-mehr
terī añgiyā kī kaTorī hogī jastī ek din
ḳhuub kar tārīf-e-navvāb-e-zafar-jañg ai 'munīr'
kaam aa jā.egī ye āqā-parastī ek din
tere hathon se miTega naqsh-e-hasti ek din
baDh rakh degi chhuri par tez-dasti ek din
teri aankhon se dil-e-nazuk girega nashshe mein
taq se shisha gira degi ye masti ek din
zahido puja tumhaari KHub hogi hashr mein
but bana degi tumhein ye haq-parasti ek din
aankhen dozaKH mein bhi senkega tera dil-soKHta
aag ban jaegi ye aatish-prasti ek din
KHubi-e-shamshir-e-abru ka tamasha dekhte
donon bagon aap ki talwar kasti ek din
KHun mera raegan nahaq bahate hain huzur
karni hai rang-e-hina ki pesh-dasti ek din
jild-e-pistan tak mera kab tak na hoga dastaras
in turanjon ki bhi qimat hogi sasti ek din
zulf-e-kafir-kesh lipTegi qadam se ai sanam
hindu-e-shab bhi karega but-parasti ek din
jaan baKHsho sar mere lashe ka Thukrao kabhi
saghar-e-KHali mein bhar do shahd-e-hasti ek din
nilgun kar denge mal kar chhatiyan ai rashk-e-mehr
teri angiya ki kaTori hogi jasti ek din
KHub kar tarif-e-nawwab-e-zafar-jang ai 'munir'
kaam aa jaegi ye aaqa-parasti ek din
- Muntakhabul-Alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.