tera dil yar agar mail kare hai
tirā dil yaar agar maa.il kare hai
to jaan ab tujh ko sāhib dil kare hai
tajallī ko nahīñ takrār hargiz
yahāñ takrār ab jāhil kare hai
ri.āyat buujh tū ma.ashūq kā jaur
ki tujh ko ishq meñ kāmil kare hai
tū kho mat diin ko duniyā ke pīchhe
koī ye kaam bhī aaqil kare hai
baḌī dushman tirī ġhaflat hai har-dam
ki tujh ko maut se ġhāfil kare hai
koī din ko chale aur qāsid-e-umar
ye raat aur din meñ do manzil kare hai
kisī ko kaam meñ tere nahīñ dark
abas 'hātim' ko tū shāmil kare hai
tera dil yar agar mail kare hai
to jaan ab tujh ko sahib dil kare hai
tajalli ko nahin takrar hargiz
yahan takrar ab jahil kare hai
riayat bujh tu mashuq ka jaur
ki tujh ko ishq mein kaamil kare hai
tu kho mat din ko duniya ke pichhe
koi ye kaam bhi aaqil kare hai
baDi dushman teri ghaflat hai har-dam
ki tujh ko maut se ghafil kare hai
koi din ko chale aur qasid-e-umar
ye raat aur din mein do manzil kare hai
kisi ko kaam mein tere nahin dark
abas 'hatim' ko tu shamil kare hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.