tere firaq mein dil se nikal kar duniya
tire firāq meñ dil se nikāl kar duniyā
chalā huuñ sikke kī mānind uchhāl kar duniyā
baḌhā liyā tire dāmān kī taraf ik haath
aur ek haath meñ rakkhī sambhāl kar duniyā
maiñ apne hujre meñ nān-o-namak pe qaane thā
vo chal diyā mirī jholī meñ Daal kar duniyā
hamārī khoj meñ phirte haiñ anfus o āfāq
ham aise darbadaroñ kā ḳhayāl kar duniyā
tere firaq mein dil se nikal kar duniya
chala hun sikke ki manind uchhaal kar duniya
baDha liya tere daman ki taraf ek hath
aur ek hath mein rakkhi sambhaal kar duniya
main apne hujre mein nan-o-namak pe qane tha
wo chal diya meri jholi mein Dal kar duniya
hamari khoj mein phirte hain anfus o aafaq
hum aise darbadaron ka KHayal kar duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.