toD deti hain beDiyan aksar
toḌ detī haiñ beḌiyāñ aksar
qaid meñ rah ke beTiyāñ aksar
chiir detī haiñ dil ke dāman ko
tañg zehnoñ kī barchhiyāñ aksar
ḳhvāb āñkhoñ meñ chhoḌ kar aadhe
jaag jaatī haiñ laḌkiyāñ aksar
zahr rishtoñ meñ ghol detī haiñ
saḳht lahje kī talḳhiyāñ aksar
naam parchī pe us kā likh likh ke
dil lagātā hai arziyāñ aksar
jab bhī sochūñ maiñ us ke baare meñ
yaad aatī haiñ ḳhūbiyāñ aksar
zindagī auratoñ ko detī haiñ
ghar kī chhoTī sī khiḌkiyāñ aksar
dil meñ chubhtī haiñ aaj bhī mere
TuuTe rishtoñ kī kirchiyāñ aksar
toD deti hain beDiyan aksar
qaid mein rah ke beTiyan aksar
chir deti hain dil ke daman ko
tang zehnon ki barchhiyan aksar
KHwab aankhon mein chhoD kar aadhe
jag jati hain laDkiyan aksar
zahr rishton mein ghol deti hain
saKHt lahje ki talKHiyan aksar
nam parchi pe us ka likh likh ke
dil lagata hai arziyan aksar
jab bhi sochun main us ke bare mein
yaad aati hain KHubiyan aksar
zindagi auraton ko deti hain
ghar ki chhoTi si khiDkiyan aksar
dil mein chubhti hain aaj bhi mere
TuTe rishton ki kirchiyan aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.