tumhaare honTon se bujhne ko jalna paDta hai
tumhāre hoñToñ se bujhne ko jalnā paḌtā hai
tumhārī aarzū ho to machalnā paḌtā hai
ba-jism mil nahīñ saktā so ḳhushbū bantā hai vo
mire liye use paikar badalnā paḌtā hai
hamīñ bujhāte haiñ lau pahle sab charāġhoñ kī
phir in charāġhoñ ke hisse kā jalnā paḌtā hai
phir intizār bhī to karnā hotā hai terā
mujhe to vaqt se pahle nikalnā paḌtā hai
baḌī hai saḳht mirī jaañ terī udāsī bhī
ba-shakl-o-sūrat-e-dīvār Dhalnā paḌtā hai
maiñ haar jaatā huuñ un do udaas āñkhoñ se
mujhe safar kā irāda badalnā paḌtā hai
tumhaare honTon se bujhne ko jalna paDta hai
tumhaari aarzu ho to machalna paDta hai
ba-jism mil nahin sakta so KHushbu banta hai wo
mere liye use paikar badalna paDta hai
hamin bujhate hain lau pahle sab charaghon ki
phir in charaghon ke hisse ka jalna paDta hai
phir intizar bhi to karna hota hai tera
mujhe to waqt se pahle nikalna paDta hai
baDi hai saKHt meri jaan teri udasi bhi
ba-shakl-o-surat-e-diwar Dhalna paDta hai
main haar jata hun un do udas aankhon se
mujhe safar ka irada badalna paDta hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 21)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.