us ka har baat mein inkar dukhi karta hai
us kā har baat meñ inkār dukhī kartā hai
mujh ko ik shaḳhs lagātār dukhī kartā hai
haiñ tire shahr meñ dukh aur bahut se lekin
muflisoñ ko yahāñ tehvār dukhī kartā hai
sochtā roz huuñ ye aaj kā din achchhā ho
par mujhe sub.h kā aḳhbār dukhī kartā hai
haafī ke sher se miltī hai tasallī dil ko
sher zaryūn kā har baar dukhī kartā hai
duur kis kis ko karūñ tum ko bhulāne ke liye
chheḌ kar baat tirī yaar dukhī kartā hai
tū kisī aur kī ḳhātir hī sañvartī hogī
bas yahī soch ke dīdār dukhī kartā hai
mas.ale kuchh huā karte haiñ hamesha dukh ke
ishq bhī aisā hai har baar dukhī kartā hai
ham ko ik shaḳhs dukhī kartā hai aise jaise
bistar-e-marg pe bīmār dukhī kartā hai
rah ke ḳhāmosh mujhe ishq kare vo 'rāhil'
us se kahnā mujhe iz.hār dukhī kartā hai
us ka har baat mein inkar dukhi karta hai
mujh ko ek shaKHs lagatar dukhi karta hai
hain tere shahr mein dukh aur bahut se lekin
muflison ko yahan tehwar dukhi karta hai
sochta roz hun ye aaj ka din achchha ho
par mujhe subh ka aKHbar dukhi karta hai
hafi ke sher se milti hai tasalli dil ko
sher zaryun ka har bar dukhi karta hai
dur kis kis ko karun tum ko bhulane ke liye
chheD kar baat teri yar dukhi karta hai
tu kisi aur ki KHatir hi sanwarti hogi
bas yahi soch ke didar dukhi karta hai
masale kuchh hua karte hain hamesha dukh ke
ishq bhi aisa hai har bar dukhi karta hai
hum ko ek shaKHs dukhi karta hai aise jaise
bistar-e-marg pe bimar dukhi karta hai
rah ke KHamosh mujhe ishq kare wo 'rahil'
us se kahna mujhe izhaar dukhi karta hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.