use tum se mohabbat hai ghalat-fahmi mein mat rahna
use tum se mohabbat hai ġhalat-fahmī meñ mat rahnā
ye bas dil kī sharārat hai ġhalat-fahmī meñ mat rahnā
tumhī ko dekh kar vo muskurātā hai to hairat kyā
use hañsne kī aadat hai ġhalat-fahmī meñ mat rahnā
hue barbād to ab āh-o-zārī kar rahe ho tum
kahā bhī thā siyāsat hai ġhalat-fahmī meñ mat rahnā
maiñ tujh ko chāhtā huuñ baat ye sach hai magar phir bhī
mujhe terī zarūrat hai ġhalat-fahmī meñ mat rahnā hī
jhukī nazroñ se taknā aur ḳhamoshī se guzar jaanā
mohabbat kī rivāyat hai ġhalat-fahmī meñ mat rahnā
kiyā kartā huuñ 'rāhī' us kī tārīfeñ sabab ye hai
vo mujh se ḳhūbsūrat hai ġhalat-fahmī meñ mat rahnā
use tum se mohabbat hai ghalat-fahmi mein mat rahna
ye bas dil ki shararat hai ghalat-fahmi mein mat rahna
tumhi ko dekh kar wo muskuraata hai to hairat kya
use hansne ki aadat hai ghalat-fahmi mein mat rahna
hue barbaad to ab aah-o-zari kar rahe ho tum
kaha bhi tha siyasat hai ghalat-fahmi mein mat rahna
main tujh ko chahta hun baat ye sach hai magar phir bhi
mujhe teri zarurat hai ghalat-fahmi mein mat rahna hi
jhuki nazron se takna aur KHamoshi se guzar jaana
mohabbat ki riwayat hai ghalat-fahmi mein mat rahna
kiya karta hun 'rahi' us ki tarifen sabab ye hai
wo mujh se KHubsurat hai ghalat-fahmi mein mat rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.