usi ne sath diya zindagi ki rahon mein
usī ne saath diyā zindagī kī rāhoñ meñ
vo ik charāġh jo jaltā rahā nigāhoñ meñ
shamīm-e-gul se subuk-tar kiran se nāzuk-tar
koī latīf sī shai aa ga.ī hai bāhoñ meñ
ye kis kī hashr-ḳhirāmī kī baat uTThī hai
hamārā naam pukārā gayā gavāhoñ meñ
ḳhabar na thī ki vahī apnī yuuñ ḳhabar leñge
shumār karte the ham jin ko ḳhair-ḳhvāhoñ meñ
abhī haiñ raakh meñ chingāriyāñ dabī lekin
mazā kahāñ hai vo pahlā sā ab kī chāhūñ meñ
hamīñ ne ziist ke har ruup ko sañvārā hai
luTā ke raushani-e-tab.a jalva-gāhoñ meñ
ragoñ meñ jaise ravāñ hai lahū 'tamannā.ī'
kisī kī mauj-e-karam hai mire gunāhoñ meñ
usi ne sath diya zindagi ki rahon mein
wo ek charagh jo jalta raha nigahon mein
shamim-e-gul se subuk-tar kiran se nazuk-tar
koi latif si shai aa gai hai bahon mein
ye kis ki hashr-KHirami ki baat uTThi hai
hamara nam pukara gaya gawahon mein
KHabar na thi ki wahi apni yun KHabar lenge
shumar karte the hum jin ko KHair-KHwahon mein
abhi hain rakh mein chingariyan dabi lekin
maza kahan hai wo pahla sa ab ki chahun mein
hamin ne zist ke har rup ko sanwara hai
luTa ke raushani-e-taba jalwa-gahon mein
ragon mein jaise rawan hai lahu 'tamannai'
kisi ki mauj-e-karam hai mere gunahon mein
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 110)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.