wahi hai mai wahi shisha wahi hai paimana
vahī hai mai vahī shīsha vahī hai paimāna
pe mai-kashī ke jo ādāb the vo badle ga.e
vahī hai niiñd vahī raat kī girānī hai
hamārī āñkhoñ meñ jo ḳhvāb the vo badle ga.e
savāloñ aur javāboñ kā silsila hai vahī
jo haq dilāte vo saare javāb badle ga.e
rifāqateñ to bahut aam ho ga.iiñ ai dost
dukhoñ meñ saath jo ahbāb the vo badle ga.e
vahī hai baaġh vahī gul hai vahī naġhma hai
sukūn-e-dil ke jo asbāb the vo badle ga.e
ibādateñ haiñ vahī aur vahī duā.eñ haiñ
magar duā meñ jo alqāb the vo badle ga.e
wahi hai mai wahi shisha wahi hai paimana
pe mai-kashi ke jo aadab the wo badle gae
wahi hai nind wahi raat ki girani hai
hamari aankhon mein jo KHwab the wo badle gae
sawalon aur jawabon ka silsila hai wahi
jo haq dilate wo sare jawab badle gae
rifaqaten to bahut aam ho gain ai dost
dukhon mein sath jo ahbab the wo badle gae
wahi hai bagh wahi gul hai wahi naghma hai
sukun-e-dil ke jo asbab the wo badle gae
ibaadaten hain wahi aur wahi duaen hain
magar dua mein jo alqab the wo badle gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.