wo mere shana-ba-shana bhi to ho sakta hai
vo mire shāna-ba-shāna bhī to ho saktā hai
ye safar merā suhānā bhī to ho saktā hai
ye zarūrī to nahīñ qasd-e-safar manzil ho
mudda.ā ḳhaak uḌānā bhī to ho saktā hai
itnī shiddat se na kar yaad mire dil us ko
ki abhī us ko bhulānā bhī to ho saktā hai
jañg meñ sab kahāñ shamshīr-zanī karte haiñ
kaam lāshoñ ko uThānā bhī to ho saktā hai
is meñ kuchh āyateñ dozaḳh kī bhī shāmil kar lo
ba.az logoñ ko Darānā bhī to ho saktā hai
dil ko zaḳhmoñ se zarā aur sajā lo 'abbās'
ye use jā ki dikhānā bhī to ho saktā hai
wo mere shana-ba-shana bhi to ho sakta hai
ye safar mera suhana bhi to ho sakta hai
ye zaruri to nahin qasd-e-safar manzil ho
muddaa KHak uDana bhi to ho sakta hai
itni shiddat se na kar yaad mere dil us ko
ki abhi us ko bhulana bhi to ho sakta hai
jang mein sab kahan shamshir-zani karte hain
kaam lashon ko uThana bhi to ho sakta hai
is mein kuchh aayaten dozaKH ki bhi shamil kar lo
baz logon ko Darana bhi to ho sakta hai
dil ko zaKHmon se zara aur saja lo 'abbas'
ye use ja ki dikhana bhi to ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.