wo para hun main jo aag mein hun wo barq hun jo sahab mein hun
wo para hun main jo aag mein hun wo barq hun jo sahab mein hun
Ahmad Husain Mail
MORE BYAhmad Husain Mail
vo paara huuñ maiñ jo aag meñ huuñ vo barq huuñ jo sahāb meñ huuñ
zamīñ pe bhī iztirāb meñ huuñ falak pe bhī iztirāb meñ huuñ
na maiñ havā meñ na ḳhaak meñ huuñ na aag meñ huuñ na aab meñ huuñ
shumār merā nahīñ kisī meñ agarche maiñ bhī hisāb meñ huuñ
agarche paanī kī mauj ban kar hamesha maiñ pech-o-tāb meñ huuñ
vahī huuñ qatra vahī huuñ dariyā jo ain chashm-e-habāb meñ huuñ
sulāyā kis ne gale lagā kar ki suur bhī thak gayā jagā kar
bapā hai aalam meñ shor-e-mahshar mujhe jo dekho to ḳhvāb meñ huuñ
mazā hai saaqī tire karam se zuhūr merā hai tere dam se
vo baada huuñ jo huuñ mai-kade meñ vo nashsha huuñ jo sharāb meñ huuñ
ilāhī vo gore gore talve kahīñ na ho jaa.eñ mujh se maile
ki ḳhaak ban kar ba-rañg-e-surma hamesha chashm-e-rikāb meñ huuñ
jo bhes apnā badal ke aayā to rañg-e-itlāq muñh se dhoyā
kiyā hai paanī meñ qaid mujh ko havā kī sūrat habāb meñ huuñ
ġhazab hai josh-e-zuhūr terā pukārtā hai ye nuur terā
ḳhudā ne andhā kiyā hai jis ko usī ke aage hijāb meñ huuñ
huī hai donoñ kī ek hālat na chain us ko na chain mujh ko
udhar vo hai mahv shoḳhiyoñ meñ idhar jo maiñ iztirāb meñ huuñ
ilāhī mujh par karam ho terā na khol a.amāl-nāma merā
pukārtā hai ye ḳhatt-e-qismat ki maiñ bhī fard-e-hisāb meñ huuñ
dimāġh meñ huuñ qadah-kashoñ ke dahan meñ aayā huuñ mah-vashoñ ke
nasha vo huuñ jo sharāb meñ huuñ mazā vo huuñ jo kabāb meñ huuñ
vo apnā chehrā agar dikhā.e yaqīn andhoñ ko ḳhaak aa.e
pukārtī hai ye be-hijābī ki maiñ azal se hijāb meñ huuñ
alāhada kar ke ḳhud se mujh ko jo tū ne baḳhshā to ḳhaak baḳhshā
agarche jannat mujhe milī hai ilāhī phir bhī azaab meñ huuñ
hujūm nazroñ kā hai vo muñh par diyā hai dono ko jis ne dhokā
yaqīñ ye mujh ko paḌā hai pardā gumāñ ye un ko naqāb meñ huuñ
jo mujh ko us se judā karoge to merā nuqsān kyā karoge
nahīñ huuñ mānind-e-sifr kuchh bhī agarche maiñ bhī hisāb meñ huuñ
na aayā mar kar bhī chain mujh ko uThā mirī ḳhaak se bagūlā
butoñ kā gesū to maiñ nahīñ huuñ ilāhī kyuuñ pech-o-tāb meñ huuñ
jo haal pūchho to ik kahānī nishān pūchho to be-nishānī
vo zarra huuñ jo miTā huā huuñ agarche maiñ āftāb meñ huuñ
miTā agarche mazār merā chhuTā na vo shahsavār merā
pukārtā hai ġhubār merā ki maiñ bhī hāzir rikāb meñ huuñ
karam kī 'mā.il' pe bhī nazar ho nazar meñ phir chulbulā asar ho
azal se ummīd-vār maiñ bhī ilāhī terī janāb meñ huuñ
wo para hun main jo aag mein hun wo barq hun jo sahab mein hun
zamin pe bhi iztirab mein hun falak pe bhi iztirab mein hun
na main hawa mein na KHak mein hun na aag mein hun na aab mein hun
shumar mera nahin kisi mein agarche main bhi hisab mein hun
agarche pani ki mauj ban kar hamesha main pech-o-tab mein hun
wahi hun qatra wahi hun dariya jo ain chashm-e-habab mein hun
sulaya kis ne gale laga kar ki sur bhi thak gaya jaga kar
bapa hai aalam mein shor-e-mahshar mujhe jo dekho to KHwab mein hun
maza hai saqi tere karam se zuhur mera hai tere dam se
wo baada hun jo hun mai-kade mein wo nashsha hun jo sharab mein hun
ilahi wo gore gore talwe kahin na ho jaen mujh se maile
ki KHak ban kar ba-rang-e-surma hamesha chashm-e-rikab mein hun
jo bhes apna badal ke aaya to rang-e-itlaq munh se dhoya
kiya hai pani mein qaid mujh ko hawa ki surat habab mein hun
ghazab hai josh-e-zuhur tera pukarta hai ye nur tera
KHuda ne andha kiya hai jis ko usi ke aage hijab mein hun
hui hai donon ki ek haalat na chain us ko na chain mujh ko
udhar wo hai mahw shoKHiyon mein idhar jo main iztirab mein hun
ilahi mujh par karam ho tera na khol aamal-nama mera
pukarta hai ye KHatt-e-qismat ki main bhi fard-e-hisab mein hun
dimagh mein hun qadah-kashon ke dahan mein aaya hun mah-washon ke
nasha wo hun jo sharab mein hun maza wo hun jo kabab mein hun
wo apna chehra agar dikhae yaqin andhon ko KHak aae
pukarti hai ye be-hijabi ki main azal se hijab mein hun
alahada kar ke KHud se mujh ko jo tu ne baKHsha to KHak baKHsha
agarche jannat mujhe mili hai ilahi phir bhi azab mein hun
hujum nazron ka hai wo munh par diya hai dono ko jis ne dhoka
yaqin ye mujh ko paDa hai parda guman ye un ko naqab mein hun
jo mujh ko us se juda karoge to mera nuqsan kya karoge
nahin hun manind-e-sifr kuchh bhi agarche main bhi hisab mein hun
na aaya mar kar bhi chain mujh ko uTha meri KHak se bagula
buton ka gesu to main nahin hun ilahi kyun pech-o-tab mein hun
jo haal puchho to ek kahani nishan puchho to be-nishani
wo zarra hun jo miTa hua hun agarche main aaftab mein hun
miTa agarche mazar mera chhuTa na wo shahsawar mera
pukarta hai ghubar mera ki main bhi hazir rikab mein hun
karam ki 'mail' pe bhi nazar ho nazar mein phir chulbula asar ho
azal se ummid-war main bhi ilahi teri janab mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.