wo pas rah ke bhi mujh mein sama nahin sakta
vo paas rah ke bhī mujh meñ samā nahīñ saktā
vo muddatoñ na mile duur jā nahīñ saktā
vo ek yaad jo dil se miTī nahīñ ab tak
vo ek naam jo hoñToñ pe aa nahīñ saktā
vo ik hañsī jo khanaktī hai ab bhī kānoñ meñ
vo ik latīfa jo ab yaad aa nahīñ saktā
vo ek ḳhvāb jo phir lauT kar nahīñ aayā
vo ik ḳhayāl jise maiñ bhulā nahīñ saktā
vo ek sher jo maiñ ne kahā nahīñ ab tak
vo ek raaz jise maiñ chhupā nahīñ saktā
wo pas rah ke bhi mujh mein sama nahin sakta
wo muddaton na mile dur ja nahin sakta
wo ek yaad jo dil se miTi nahin ab tak
wo ek nam jo honTon pe aa nahin sakta
wo ek hansi jo khanakti hai ab bhi kanon mein
wo ek latifa jo ab yaad aa nahin sakta
wo ek KHwab jo phir lauT kar nahin aaya
wo ek KHayal jise main bhula nahin sakta
wo ek sher jo main ne kaha nahin ab tak
wo ek raaz jise main chhupa nahin sakta
- Book : Soch Samajh (Pg. 60)
- Author : Salman Akhtar
- Publication : Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.