wo samne jab aa jate hain sakte ka sa aalam hota hai
vo sāmne jab aa jaate haiñ sakte kā sā aalam hotā hai
us dil kī tabāhī kyā kahiye amrit bhī jise sam hotā hai
dete haiñ usī ko jām-e-tarab jo jur.a-kash-e-ġham hotā hai
kab bāġh-e-jahāñ haiñ ḳhanda-e-gul be-girya-e-shabnam hotā hai
jab valvala sādiq hotā hai jab azm musammam hotā hai
takmīl kā sāmāñ ġhaib se ḳhud us vaqt farāham hotā hai
anjām-e-vafā bhī dekh liyā ab kis liye sar ḳham hotā hai
nāzuk hai mizāj-e-husn bahut sajde se bhī barham hotā hai
ye aag dahaktī hai jitnī utnā hī dhuāñ kam detī hai
ehsās-e-sitam baḌh jaatā hai to shor-e-fuġhāñ kam hotā hai
rag rag meñ nizām-e-fitrat kī raqsāñ hai mohabbat kī bijlī
ho laakh tazād azdād meñ bhī ik rābta bāham hotā hai
mil-jul ke ba-rañg-e-rañg-e-shīr-o-shakar donoñ ke nikharte haiñ jauhar
dariyāoñ ke sañgam se baḌh kar tahzīboñ kā sañgam hotā hai
tārāj nasheman khel sahī sayyād magar itnā sun le
jab ishq kī duniyā luTtī hai ḳhud husn kā mātam hotā hai
dīvānoñ ke jeb-o-dāman kā uḌtā hai fazā meñ jo TukḌā
mustaqbil-e-millat ke haq meñ iqbāl kā parcham hotā hai
mansūr jo hotā ahl-e-nazar to dāva-e-bātil kyuuñ kartā
us kī to zabāñ khultī hī nahīñ jo raaz kā mahram hotā hai
tā-chand 'suhail' afsurda-e-ġham kyā yaad nahīñ tārīḳh-e-haram
īmāñ ke jahāñ paḌte haiñ qadam paidā vahīñ zamzam hotā hai
wo samne jab aa jate hain sakte ka sa aalam hota hai
us dil ki tabahi kya kahiye amrit bhi jise sam hota hai
dete hain usi ko jam-e-tarab jo jura-kash-e-gham hota hai
kab bagh-e-jahan hain KHanda-e-gul be-girya-e-shabnam hota hai
jab walwala sadiq hota hai jab azm musammam hota hai
takmil ka saman ghaib se KHud us waqt faraham hota hai
anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai
nazuk hai mizaj-e-husn bahut sajde se bhi barham hota hai
ye aag dahakti hai jitni utna hi dhuan kam deti hai
ehsas-e-sitam baDh jata hai to shor-e-fughan kam hota hai
rag rag mein nizam-e-fitrat ki raqsan hai mohabbat ki bijli
ho lakh tazad azdad mein bhi ek rabta baham hota hai
mil-jul ke ba-rang-e-rang-e-shir-o-shakar donon ke nikharte hain jauhar
dariyaon ke sangam se baDh kar tahzibon ka sangam hota hai
taraj nasheman khel sahi sayyaad magar itna sun le
jab ishq ki duniya luTti hai KHud husn ka matam hota hai
diwanon ke jeb-o-daman ka uDta hai faza mein jo TukDa
mustaqbil-e-millat ke haq mein iqbaal ka parcham hota hai
mansur jo hota ahl-e-nazar to dawa-e-baatil kyun karta
us ki to zaban khulti hi nahin jo raaz ka mahram hota hai
ta-chand 'suhail' afsurda-e-gham kya yaad nahin tariKH-e-haram
iman ke jahan paDte hain qadam paida wahin zamzam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.