yar jab ham-kanar howega
yaar jab ham-kanār hovegā
dil ko mere qarār hovegā
guzrā mujh ḳhaak se jo dāman-kash
ye vahī shahsavār hovegā
taab kyā māh-e-chār-dah ko jo Tuk
us parī se do-chār hovegā
mehr us ruḳh ke aage afsurda
juuñ charāġh-e-mazār hovegā
gul nazākat ke aage us rū ke
chashm-e-bulbul meñ ḳhaar hovegā
sarv is qadd-e-rāst ke aage
banda-e-chobdār hovegā
garche aalam meñ har koī terā
āshiq-e-ġham-gusār hovegā
yaad kar ham sā par na kuī pyāre
fidvī-e-jāñ-nisār hovegā
ai 'jahāñdār' kab vo ā.ina-rū
dekho mujh se do-chār hovegā
yar jab ham-kanar howega
dil ko mere qarar howega
guzra mujh KHak se jo daman-kash
ye wahi shahsawar howega
tab kya mah-e-chaar-dah ko jo Tuk
us pari se do-chaar howega
mehr us ruKH ke aage afsurda
jun charagh-e-mazar howega
gul nazakat ke aage us ru ke
chashm-e-bulbul mein KHar howega
sarw is qadd-e-rast ke aage
banda-e-chobdar howega
garche aalam mein har koi tera
aashiq-e-gham-gusar howega
yaad kar hum sa par na kui pyare
fidwi-e-jaan-nisar howega
ai 'jahandar' kab wo aaina-ru
dekho mujh se do-chaar howega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.