ye kah gae hain musafir luTe gharon wale
ye kah ga.e haiñ musāfir luTe gharoñ vaale
Dareñ havā se parinde khule paroñ vaale
ye mere dil kī havas dasht-e-be-karāñ jaisī
vo terī aañkh ke tevar samundaroñ vaale
havā ke haath meñ kaase haiñ zard pattoñ ke
kahāñ ga.e vo saḳhī sabz chādaroñ vaale
kahāñ mileñge vo agle dinoñ ke shahzāde
pahan ke tan pe libāde gadāgaroñ vaale
pahāḌiyoñ meñ ghire ye bujhe bujhe raste
kabhī idhar se guzarte the lashkaroñ vaale
unhī pe ho kabhī nāzil azaab aag ajal
vahī nagar kabhī Thahreñ payambaroñ vaale
tire supurd karūñ aa.ine muqaddar ke
idhar to aa mire ḳhush-rang pattharoñ vaale
kisī ko dekh ke chup chup se kyuuñ hue 'mohsin'
kahāñ ga.e vo irāde suḳhan-varoñ vaale
ye kah gae hain musafir luTe gharon wale
Daren hawa se parinde khule paron wale
ye mere dil ki hawas dasht-e-be-karan jaisi
wo teri aankh ke tewar samundaron wale
hawa ke hath mein kase hain zard patton ke
kahan gae wo saKHi sabz chadaron wale
kahan milenge wo agle dinon ke shahzade
pahan ke tan pe libaade gadagaron wale
pahaDiyon mein ghire ye bujhe bujhe raste
kabhi idhar se guzarte the lashkaron wale
unhi pe ho kabhi nazil azab aag ajal
wahi nagar kabhi Thahren payambaron wale
tere supurd karun aaine muqaddar ke
idhar to aa mere KHush-rang pattharon wale
kisi ko dekh ke chup chup se kyun hue 'mohsin'
kahan gae wo irade suKHan-waron wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.