ye socha hi nahin tha tishnagi mein
ye sochā hī nahīñ thā tishnagī meñ
kahāñ rakkhūñgī lab maiñ bebasī meñ
tumhārī samt aane kī talab meñ
maiñ ruktī hī nahīñ huuñ be-ḳhudī meñ
dil-e-ḳhush-fahm tujh se kitne hoñge
nisār us kī tamannā kī galī meñ
nahīñ vo itnā bhī pāgal nahīñ thā
jo mar jaatā mirī vābastagī meñ
mujhe ab 'āsima' chalnā paḌegā
ḳhud apne aap hī kī rahbarī meñ
ye socha hi nahin tha tishnagi mein
kahan rakkhungi lab main bebasi mein
tumhaari samt aane ki talab mein
main rukti hi nahin hun be-KHudi mein
dil-e-KHush-fahm tujh se kitne honge
nisar us ki tamanna ki gali mein
nahin wo itna bhi pagal nahin tha
jo mar jata meri wabastagi mein
mujhe ab 'asima' chalna paDega
KHud apne aap hi ki rahbari mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.