yun dekhne mein to upar se saKHt hun shayad
yuuñ dekhne meñ to uupar se saḳht huuñ shāyad
magar darūn-e-badan laḳht laḳht huuñ shāyad
mire nasīb meñ likkhī hai shab kī tārīkī
maiñ Dūbte hue sūraj kā baḳht huuñ shāyad
qarīb o duur nahīñ hai koī bhī apnā sā
ujaaḌ baaġh kā tanhā daraḳht huuñ shāyad
mujhe kisī ne sunā hī nahīñ tavajjoh se
maiñ bad-zabān sadā-e-karaḳht huuñ shāyad
nahīf kāñdhoñ pe bār-e-ġham-e-do-ālam hai
sarāpā raahū o ketū kā taḳht huuñ shāyad
mirī talāsh meñ hai koī aisā lagtā hai
kisī kā gum-shuda 'shādāb' raḳht huuñ shāyad
yun dekhne mein to upar se saKHt hun shayad
magar darun-e-badan laKHt laKHt hun shayad
mere nasib mein likkhi hai shab ki tariki
main Dubte hue suraj ka baKHt hun shayad
qarib o dur nahin hai koi bhi apna sa
ujaD bagh ka tanha daraKHt hun shayad
mujhe kisi ne suna hi nahin tawajjoh se
main bad-zaban sada-e-karaKHt hun shayad
nahif kandhon pe bar-e-gham-e-do-alam hai
sarapa rahu o ketu ka taKHt hun shayad
meri talash mein hai koi aisa lagta hai
kisi ka gum-shuda 'shadab' raKHt hun shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.