yun to dil har kadam rakhta hai
yun to dil har kadam rakhta hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
MORE BYGulam Yahya Huzur Azimabadi
yuuñ to dil har kadām rakhtā hai
ahl-e-dil honā kaam rakhtā hai
kab vo tama-e-salām rakhtā hai
mujh sā lākhoñ ġhulām rakhtā hai
ishrat-e-do-jahāñ hai us ke saath
jo surāhī-o-jām rakhtā hai
hai vahī ḳhaas bazm-e-duniyā meñ
jo madārā-e-ām rakhtā hai
dīn-o-duniyā kā jo nahīñ pāband
vo farāġhat tamām rakhtā hai
but-parastoñ ko kui kahe hai zubūñ
kui musalmāñ ko naam rakhtā hai
har koī apnī fahm-e-nāqis meñ
puḳhta saudā-e-ḳhām rakhtā hai
jo kisū ko burā kahe na 'huzūr'
vahī fahm-mañd naam rakhtā hai
yun to dil har kadam rakhta hai
ahl-e-dil hona kaam rakhta hai
kab wo tama-e-salam rakhta hai
mujh sa lakhon ghulam rakhta hai
ishrat-e-do-jahan hai us ke sath
jo surahi-o-jam rakhta hai
hai wahi KHas bazm-e-duniya mein
jo madara-e-am rakhta hai
din-o-duniya ka jo nahin paband
wo faraghat tamam rakhta hai
but-paraston ko kui kahe hai zubun
kui musalman ko nam rakhta hai
har koi apni fahm-e-naqis mein
puKHta sauda-e-KHam rakhta hai
jo kisu ko bura kahe na 'huzur'
wahi fahm-mand nam rakhta hai
- Dewan-e-Huzoor (E-Book)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.