yunhi mar mar ke jien waqt guzare jaen
yūñhī mar mar ke ji.eñ vaqt guzāre jaa.eñ
zindagī ham tire hāthoñ se na maare jaa.eñ
ab zamīñ par koī gautam na mohammad na masīh
āsmānoñ se na.e log utāre jaa.eñ
vo jo maujūd nahīñ us kī madad chāhte haiñ
vo jo suntā hī nahīñ us ko pukāre jaa.eñ
baap larzāñ hai ki pahuñchī nahīñ bārāt ab tak
aur ham-joliyāñ dulhan ko sañvāre jaa.eñ
ham ki nādān juārī haiñ sabhī jānte haiñ
dil kī baazī ho to jī jaan se haare jaa.eñ
taj diyā tum ne dar-e-yār bhī uktā ke 'farāz'
ab kahāñ DhūñDhne ġham-ḳhvār tumhāre jaa.eñ
yunhi mar mar ke jien waqt guzare jaen
zindagi hum tere hathon se na mare jaen
ab zamin par koi gautam na mohammad na masih
aasmanon se nae log utare jaen
wo jo maujud nahin us ki madad chahte hain
wo jo sunta hi nahin us ko pukare jaen
bap larzan hai ki pahunchi nahin baraat ab tak
aur ham-joliyan dulhan ko sanware jaen
hum ki nadan juari hain sabhi jaante hain
dil ki bazi ho to ji jaan se haare jaen
taj diya tum ne dar-e-yar bhi ukta ke 'faraaz'
ab kahan DhunDhne gham-KHwar tumhaare jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.