zara si choT lagi thi ki chalna bhul gae
zarā sī choT lagī thī ki chalnā bhuul ga.e
sharīf log the ghar se nikalnā bhuul ga.e
tirī umiid pe shāyad na ab khare utreñ
ham itnī baar bujhe haiñ ki jalnā bhuul ga.e
tumheñ to ilm thā bastī ke log kaise haiñ
tum is ke ba.ad bhī kapḌe badalnā bhuul ga.e
hameñ to chāñd sitāroñ ko rusvā karnā thā
so jān-būjh ke ik roz Dhalnā bhuul ga.e
'hasīb'-soz jo rassī ke pul pe chalte the
paḌā vo vaqt ki saḌkoñ pe chalnā bhuul ga.e
zara si choT lagi thi ki chalna bhul gae
sharif log the ghar se nikalna bhul gae
teri umid pe shayad na ab khare utren
hum itni bar bujhe hain ki jalna bhul gae
tumhein to ilm tha basti ke log kaise hain
tum is ke baad bhi kapDe badalna bhul gae
hamein to chand sitaron ko ruswa karna tha
so jaan-bujh ke ek roz Dhalna bhul gae
'hasib'-soz jo rassi ke pul pe chalte the
paDa wo waqt ki saDkon pe chalna bhul gae
- Book : Dhoop Phir Nikal aai (Pg. 45)
- Author : Haseeb soz
- Publication : Lamhe lamhe Publications, Imam bara Alapur, Badaun (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.