zara soch kar ai jafa karne wale
zarā soch kar ai jafā karne vaale
kahīñ jī na chhoḌeñ vafā karne vaale
gila kuchh nahīñ mujh ko vaa.iz se lekin
ye kaun aap kā tazkira karne vaale
ghamanD un ko allāh re itnā jafā kā
to kyā mar ga.e ab vafā karne vaale
baḌe be-muravvat baḌe bevafā ho
hamesha bahāna nayā karne vaale
galī meñ tirī sar-ba-kaf ho ke aa.eñ
kahāñ haiñ mirā sāmnā karne vaale
vo bebāk chitvan yahī kah rahī hai
kisī se nahīñ ham vafā karne vaale
shahīdān-e-ulfat na ḳhush hoñ taḌap kar
vo is par nahīñ e'tinā karne vaale
ye kahtā hai parvāne kā jal ke marnā
vafā karte haiñ yuuñ vafā karne vaale
samajhte haiñ āsāñ abhī un kā milnā
bahut duur haiñ hausla karne vaale
naqāb un kī jis vaqt sarkegī ruḳh se
qayāmat kareñge hayā karne vaale
dam-e-naz.a āḳhir nikal aa.e aañsū
kahāñ jā ke chauke vafā karne vaale
zabāñ par mirī rāz-e-dil ab to aayā
mirī sharm rakh le hayā karne vaale
davā se to bīmār kuchh aur uljhā
maraz hī na samjhe davā karne vaale
ḳhamoshī mirī laash kī kah rahī hai
jafā sahte haiñ yuuñ vafā karne vaale
gadā kaun betāb sā is galī meñ
haiñ yuuñ to bahut se sadā karne vaale
zara soch kar ai jafa karne wale
kahin ji na chhoDen wafa karne wale
gila kuchh nahin mujh ko waiz se lekin
ye kaun aap ka tazkira karne wale
ghamanD un ko allah re itna jafa ka
to kya mar gae ab wafa karne wale
baDe be-murawwat baDe bewafa ho
hamesha bahana naya karne wale
gali mein teri sar-ba-kaf ho ke aaen
kahan hain mera samna karne wale
wo bebak chitwan yahi kah rahi hai
kisi se nahin hum wafa karne wale
shahidan-e-ulfat na KHush hon taDap kar
wo is par nahin e'tina karne wale
ye kahta hai parwane ka jal ke marna
wafa karte hain yun wafa karne wale
samajhte hain aasan abhi un ka milna
bahut dur hain hausla karne wale
naqab un ki jis waqt sarkegi ruKH se
qayamat karenge haya karne wale
dam-e-naza aaKHir nikal aae aansu
kahan ja ke chauke wafa karne wale
zaban par meri raaz-e-dil ab to aaya
meri sharm rakh le haya karne wale
dawa se to bimar kuchh aur uljha
maraz hi na samjhe dawa karne wale
KHamoshi meri lash ki kah rahi hai
jafa sahte hain yun wafa karne wale
gada kaun betab sa is gali mein
hain yun to bahut se sada karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.