zikr-e-gul ho Khaar ki baaten karen
zikr-e-gul ho ḳhaar kī bāteñ kareñ
lazzat-o-āzār kī bāteñ kareñ
hai mashām-e-shauq mahrūm-e-shamīm
zulf-e-ambar-bār kī bāteñ kareñ
duur tak ḳhālī hai saharā-e-nazar
āhū-e-tātār kī bāteñ kareñ
aaj kuchh nā-sāz hai tab-e-ḳhirad
nargis-e-bīmār kī bāteñ kareñ
yūsuf-e-kan.āñ kā ho kuchh tazkira
misr ke bāzār kī bāteñ kareñ
aao ai ḳhufta-nasībo muflisho
daulat-e-bedār kī bāteñ kareñ
'jaun' aao kārvāñ-dar-kārvāñ
manzil-e-dushvār kī bāteñ kareñ
zikr-e-gul ho KHar ki baaten karen
lazzat-o-azar ki baaten karen
hai masham-e-shauq mahrum-e-shamim
zulf-e-ambar-bar ki baaten karen
dur tak KHali hai sahara-e-nazar
aahu-e-tatar ki baaten karen
aaj kuchh na-saz hai tab-e-KHirad
nargis-e-bimar ki baaten karen
yusuf-e-kanan ka ho kuchh tazkira
misr ke bazar ki baaten karen
aao ai KHufta-nasibo muflisho
daulat-e-bedar ki baaten karen
'jaun' aao karwan-dar-karwan
manzil-e-dushwar ki baaten karen
- Shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.