dasht-e-wigha mein nur-e-KHuda ka zuhur hai
dasht-e-viġha meñ nūr-e-ḳhudā kā zuhūr hai
dasht-e-viġhā meñ nūr-e-ḳhudā kā zuhūr hai
zarroñ meñ raushnī-e-tajallī-e-tūr hai
ik āftāb-e-ruḳh kī ziyā duur duur hai
kosoñ zamīn aks se dariyā-e-nūr hai
allāh-re husn tabqa-e-ambar-sarisht kā
maidān-e-karbalā hai namūna bahisht kā
hairāñ zamīñ ke nuur se hai charḳh-e-lājvard
mānind-e-kahrubā hai ruḳh-e-āftāb-e-zard
hai rū-kash-e-fazā-e-iram vādi-e-nabard
uThtā hai ḳhaak se tataq-e-nūr jā-e-gard
hairat se hāmilān-e-falak un ko takte haiñ
zarre nahīñ zamīñ pe sitāre chamakte haiñ
hai āb-e-nahr sūrat-e-ā.īna jalva-gar
tābāñ hai misl-e-chashma-e-ḳhurshīd har bhañvar
lahreñ bisān-e-barq chamaktī haiñ sar-ba-sar
paanī pe machhliyoñ kī Thahartī nahīñ nazar
ye āb-o-tāb hai ki guhar aab aab haiñ
dariyā to āsmāñ haiñ sitāre hubāb haiñ
partav-fagan huā jo ruḳh-e-qibla-e-anām
mash.hūr ho ga.ī vo zamīñ arsh-ehtishām
aur sañg-reze durr-e-najaf ban ga.e tamām
sahrā ko mil gayā sharaf-e-vādī-assalām
kaabe se aur najaf se bhī izzat sivā huī
ḳhaak us zamīn-e-pāk kī ḳhāk-e-shifā huī
phailā jo nūr-e-mahr-e-imāmat dam-e-zavāl
zarroñ se vaañ ke aañkh milānā huā muhāl
saare nihāl faiz-e-qadam se hue nihāl
aḳhtar bane jo phuul to shāḳheñ banīñ hilāl
patte tamām ā.īna-e-nūr ho ga.e
sahrā ke naḳhl sab shajar-e-tūr ho ga.e
ġhul thā zahe husain kī shaukat zahe vaqār
goyā khaḌe haiñ jañg ko mahbūb-e-kirdgār
ruḳh se ayaañ hai dabdaba-e-shāh-e-zul-fiqār
hai nūr-e-haq jabīn-e-munavvar se āshkār
kyūñkar chhupe na māh-e-do-hafta hijāb se
chauda tabaq meñ nuur hai us āftāb se
ye rū-e-raushan aur ye gesu-e-mushk-e-fām
yaañ shaam meñ to sub.h hai aur sub.h meñ hai shaam
haale meñ yuuñ nazar nahīñ aatā hai mah tamām
qudarat ḳhudā kī nuur kā zulmat meñ hai maqām
zulfoñ meñ jalva-gar nahīñ chehra janāb kā
hai nisf shab meñ aaj zuhūr āftāb kā
qurbāñ kamān-e-abrū-e-maulā pe jaan o dil
gar māh-e-nau kaheñ to hai tashbīh mubtazil
chashm-e-ġhazāl-e-dasht-e-ḳhutan chashm se ḳhajil
dekhā jise karam se ḳhatā.eñ huiiñ bahil
putlī bisān-e-qibla-numā be-qarār hai
giryāñ haiñ vo ye gardish-e-lail o nahār hai
ruḳhsār haiñ ziyā meñ qamar se ziyāda-tar
jin par Thahar sakī na kabhī shams kī nazar
rīsh-e-moḳhazzab aur ye ruḳh-e-shāh-e-bahr o bar
paidā haiñ saaf ma.anī-e-val-lailo-o-val-qamar
qur.ān se ayaañ hai buzurgī imaam kī
khaa.ī qasam ḳhudā ne isī sub.h o shaam kī
kis muñh se kījiye lab-e-jān-baḳhsh kā bayāñ
chūsī jinhoñ ne ahmad muḳhtār kī zabāñ
kyā durr-e-āb-dār haiñ is durj meñ nihāñ
goyā ki motiyoñ kā ḳhazāna hai ye dahāñ
zarre zamīñ pe aks se saare chamak ga.e
jis vaqt ye khile to sitār chamak ga.e
sham-e-harīm-e-lam-yazalī thā gulū-e-shāh
tārīk shab meñ jaise huvaidā ho nūr-e-māh
ai charḳh-e-be-madār ye kaisā sitam hai aah
shamshīr-e-shimr aur mohammad kī bosa-gāh
jis par rasūl hoñToñ ko malte hoñ pyaar se
kaT jaa.e karbalā maiñ vo ḳhanjar kī dhaar se
manzūr yaañ thī mad.h-e-gulū-e-shah-e-umam
yaad aa ga.ī magar ye hadīs-e-ġham-o-alam
masjid meñ jalva-gar the rasūl-e-falak-hasham
malte the zikr-e-haq meñ lab-e-pāk dam-ba-dam
raushan the bām-o-dar ruḳh-e-raushan ke nuur se
ā.īna ban ga.ī thī zamīñ tan ke nuur se
thā jo sutūñ ki rukn-e-risālat kā takiya-gāh
kursī bhī us kī pusht kī thī DhūñDhtī panāh
thā jis hasīr par vo do aalam kā bādshāh
hasrat se arsh kartā thā us farsh par nigāh
auj-e-zamīñ bahisht-e-barīñ se do-chand thā
mimbar kā nuh falak se bhī paaya buland thā
as.hāb-e-ḳhās gird the anjum kī tarah sab
tābāñ thā biich meñ vo mah-e-hāshmī-laqab
sar par malak-sifāt magas-rāañ the do arab
jibrīl tah kiye hue the zānu-e-adab
ḳhādim bilāl-o-qumbar-e-gardūñ-asās thā
nālain is ke paas asā us ke paas thā
gesū the vo mufassir-e-vallail-izā-sajā
ruḳh se ayaañ the ma.anī-e-vashshams-o-va-zzuhā
vo rīsh-e-pāk aur ruḳh-e-sardār-e-ambiyā
goyā dharā thā rehl pe qur.āñ khulā huā
oḌhe siyah abā jo vo ālam-panāh thā
kaaba kā saaf hājiyoñ ko ishtibāh thā
pahlū meñ bādshāh ke thā jalva-gar vazīr
sardār-e-dīñ alī-e-valī ḳhalq kā amiir
donoñ jahāñ meñ koī na donoñ kā thā nazīr
ahmad the āftāb to haidar mah-e-munīr
zāhir meñ ek nuur kā do jā zuhūr thā
gar ġhaur kījiye to vahī ek nuur thā
masrūf-e-vāz-o-pand the sultān-e-mashriqain
jo ghar se nikle khelte zohrā ke nuur ain
naanā baġhair donoñ navāsoñ ko thā na chain
baḌh jaate the hasan kabhī aage kabhī husain
kahte the dekheñ kaun qadam jald uThātā hai
naanā ke paas kaun bhalā pahle jaatā hai
vo gore gore chehroñ pe zulfeñ idhar udhar
aḳhtar se vo chamakte hue kaan ke guhar
rashk-e-hilāl tauq gale ġhairat-e-qamar
haikal pe naqsh naam ḳhudā-e-jalīl ke
tāvīz gardanoñ pe par-e-jibrīl ke
masjid meñ aa.e hañste hue jab vo gul-badan
ḳhushbū se sehan-e-masjid-e-jāme banā chaman
taslīm ko husain se pahle jhuke hasan
ḳhush ho ke muskurāne lage sarvar-e-zaman
baḌh baḌh ke ḳham salām ko chhoTe baḌe hue
baiThe rahe rasūl malak uTh khaḌe hue
beToñ ko thā alī kā ishāra ki baiTh jaao
lāzim nahīñ ki vaaz meñ naanā ko tum satāo
phailā ke haath bole mohammad ki aao aao
shabbīr ne kahā hameñ pahle gale lagāo
bhaa.ī hasan jo aap kī godī meñ aa.eñ ge
ham tum se naanā jaan abhī ruuTh jaa.eñ ge
bole hasan ki vaah hameñ aur kareñ na pyaar
iqrār ke chuke haiñ shahanshāh-e-nām-dār
bole ba-chashm-e-nam ye husain-e-falak-vaqār
dekheñ to kaun kāñdhe pe hotā hai ab savār
sab se sivā jo haiñ so hamīñ un ke pyāre haiñ
aage na baḌhiye aap ki naanā hamāre haiñ
bhaa.ī se tab kahā ye hasan ne ba-iltifāt
be-vaj.h ham se rūThe ho tum ai niko-sifāt
naanā hamāre kyā nahīñ sultān-e-kā.enāt
hotī hai nāgavār tumheñ to zarā sī baat
ġhussa na itnā chāhiye ḳhush-ḳhū ke vāste
machle the yuuñ hī bachcha-e-āhū ke vāste
ye sun ke muñh alī kā lage dekhne rasūl
hañs kar kahā ye donoñ haiñ mere chaman ke phuul
maiñ chāhtā huuñ ek kī ḳhātir na ho malūl
ro.eñge ye to ghar se nikal aa.egī butūl
hove na rañj mere kisī nūr-e-ain ko
tum lo hasan ko god meñ maiñ luuñ husain ko
shabbar se phir ishāra kiyā ho ke be-qarār
ġhussa na khaao pahle tumhīñ ko kareñge pyaar
phir bole dekh kar sū-e-shabbīr-e-nām-dār
aa ai husain aa tirī bātoñ ke maiñ nisār
chhātī se ham lagā.eñge jaan apnī jaan kar
dekheñ to pahle kaun lipaTtā hai aan kar
dauḌe ye baat sun ke barābar vo ḳhush-sayar
paas aa.e āftāb-e-risālat ke do qamar
lipTe husain hañs ke idhar aur hasan udhar
the paañv zānūoñ pe to bālā-e-dosh sar
naanā ke saath pyaar meñ donoñ kā saath thā
gardan meñ ek un kā aur un kā haath thā
phir phir ke dekhte the shahanshāh-e-mashriqain
gah jānib-e-hasan to kabhī jānib-e-husain
baiThe jo zānūoñ pe vo zehrā ke nūr-e-ain
thā tan ko lutf qalb ko rāhat jigar ko chain
jhuk jhuk ke muñh rasūl-e-zaman chūmne lage
in kā galā to un kā dahan chūmne lage
shabbīr chāhte the ki chūmeñ mire bhī lab
par kuchh gale ke bosoñ kā khultā na thā sabab
naanā ke muñh ke paas ye laate the muñh ko jab
jhuk jhuk ke chūmte the galā sayyad-e-arab
bhaa.ī ko dekh kar jo hasan muskurāte the
ġhairat se un kī āñkhoñ meñ aañsū bhar aate the
uTThe husain zānū-e-ahmad se ḳhashm-gīñ
ġhusse se rañg zard aur āñkhoñ pe āstīñ
ruḳh par pasīna jism meñ ra.asha jabīñ pa chiiñ
pūchhā kidhar chale to ye bole kahīñ nahīñ
ghar meñ akele tevarī chaḌhā.e chale ga.e
dekhā na phir ke sar ko jhukā.e chale ga.e
baitushsharf meñ aa.e jo shabbīr-e-nām-dār
kurte ko muñh pe rakh ke lage rone zār-zār
dauḌīñ ye kah ke fāima-zehrā jigar-figār
hai hai husain kyā huā tū kyuuñ hai ashk-bār
tujh ko rulā ke ġham meñ mujhe mubtalā kiyā
qurbān ho ga.ī tujhe kis ne ḳhafā kiyā
merā kaleja phahTtā hai ai dilrubā na ro
zehrā hazār jaan se tujh pe fidā na ro
sar meñ na dard ho kahīñ ai mah-laqā na ro
bas bas na ro husain barā-e-ḳhudā na ro
merī taraf to dekho ki betāb hotī huuñ
chādar se muñh ko Dhāñp ke lo maiñ bhī rotī huuñ
tū muñh to khol ai mire shabbīr-e-ḳhush-ḳhisāl
tar ho ga.e haiñ āñsuoñ se gore gore gaal
mal mal ke pusht-e-dast se aañkh karo na laal
suljhā.ūñ aao uljhe hue gesuoñ ke baal
ghar se ga.e the saath judā ho ke aa.e ho
samjhī maiñ kuchh hasan se ḳhafā ho ke aa.e ho
tum chup raho vo ghar meñ to masjid se phir ke aa.eñ
guzrī maiñ khel se mire bachche ko kyuuñ rulā.eñ
un se na boliyo vo tumheñ laakh gar manā.eñ
lo aao jaane do tumheñ chhātī se ham lagā.eñ
vaarī agar hasan ne rulāyā burā kiyā
pūchhūñgī kyā na maiñ mire pyāre ne kyā kiyā
bole husain ham to haiñ is baat par ḳhafā
naanā ne chūme bhaa.ī ke hoñT aur mirā galā
tum ammāñ-jān muñh ko to sūñgho mire zarā
kuchh bū-e-nāgavār hai mere dahan meñ kyā
bhaa.ī ke lab se apne laboñ ko milāte haiñ
ab ham na jaa.eñ ge hameñ naanā rulāte haiñ
muñh rakh ke muñh pe bolī ye zehrā jigar-figār
bū-e-gulāb aatī hai ai mere gul-azār
chūmā agar galā to ḳhafā ho na maiñ nisār
tum ko zabāñ chūsāte the mahbūb-e-kirdgār
ye mushk meñ mahak na gul-e-yāsman meñ hai
ḳhush-bū usī dahan kī tumhāre dahan meñ hai
kahne lage husain ye maañ se ba-chashm-e-nam
kyā jaano tum hasan se hameñ chāhte haiñ kam
ye kyā unhīñ pe lutf-o-ināyat hai dam-ba-dam
mālūm ho gayā unheñ pyāre nahīñ haiñ ham
ro ro ke aaj jaan ham apnī gañvā.eñge
paanī na ab piyeñge na khāne ko khā.eñge
ye baat sun ke ho gayā zehrā kā rañg faq
bolī pisar se ro ke vo bint-e-rasūl-e-haq
sadqe ga.ī karo na kaleje ko mere shaq
hai hai ye kyā kahā mujhe hotā hai ab qalaq
merā lahū bahegā jo aañsū bahāoge
kaahe ko maañ jiyegī jo khānā na khāoge
ye kah ke oḌh lī sar-e-pur-nūr par ridā
moze pahan ke god meñ shabbīr ko liyā
dar tak ga.ī jo ghar se vo dil-band-e-mustafā
fizza ne baḌh ke būzar o salmāñ ko dī sadā
pesh-e-nabī husain ko godī meñ laatī haiñ
haT jaao sab ki fātima masjid meñ aatī haiñ
allāh-re aamad āmad-e-zehrā kā bandobast
sātoñ falak the auj-e-sharāfat se jis ke past
ahmad ke gird-o-pesh se uTThe ḳhudā-parast
insāñ to kyā malak ko na thī qudarat-e-nishast
aa.iiñ to shād-shād rasūl-e-zaman hue
ghar meñ ḳhudā ke ek jagah panj-tan hue
tāzīm-e-fātima ko uThe sayyad-ul-bashar
dekhā ki chashm-e-fātima hai āñsuoñ se tar
ġham the husain dosh pe maañ ke jhukā.e sar
thā ik hilāl mahr ke pahlū meñ jalva-gar
maañ kahtī thī na rovo magar chup na hote the
āñkheñ thiiñ band hichkiyāñ le le ke rote the
ghabrā ke pūchhne lage mahbūb-e-zul-jalāl
rotā hai kyuuñ husain ye kyā hai tumhārā haal
bolīñ butūl aaj qalaq hai mujhe kamāl
royā hai ye husain ki āñkheñ haiñ donoñ laal
aate haiñ hañste rote hue ghar meñ jaate haiñ
shafqat bhī aap hī karte haiñ aap hī rulāte haiñ
hāthoñ ko joḌtī huuñ maiñ yā shāh-e-bahr-o-bar
shafqat kī us ke haal pe har-dam rahe nazar
rone se us ke hotā hai TukḌe mirā jigar
mujh fāqa-kash ġharīb kā pyārā hai ye pisar
haidar se pūchhiye mire usrat ke haal ko
kis kis dukhoñ se paalā hai is naunihāl ko
ashk us ke jitne Tapke haiñ yā shāh-e-nek-ḳhū
utnā hī ghaT gayā hai mire jism kā lahū
ro.e haiñ phuuT phuuT ke ye mere rū-ba-rū
tar ho gayā hai āñsuoñ se chāñd sā gulū
dekhā na thā ye maiñ ne jo haal is kā aaj hai
hazrat to jānte haiñ ki nāzuk mizāj hai
shafqat se aaj aap ne chūme hasan ke lab
bosa liyā na un ke laboñ kā ye kyā sabab
rutbe meñ donoñ ek haiñ yā survar-e-arab
maiñ sach kahūñ ye sun ke mujhe bhī huā ojab
is ko jo ho ḳhushī to dil is kā bhī shaad ho
chhoTe se chāhiye ki mohabbat ziyād ho
aap un ke naaz uThāte haiñ yā shāh-e-bahr-o-bar
phir kis se rūTheñ aap se rūTheñ na ye agar
aksar inheñ chaḌhāyā hai hazrat ne dosh par
gesū diye haiñ nanhe se hāthoñ meñ besh-tar
rūThe the ye so qadmoñ pe sar dharne aa.e haiñ
muñh ke na chūmne kā gilā karne aa.e haiñ
ye kah ke phir husain se bolīñ ba-chashm-tar
lo jā ke ab nabī ke qadam par jhukāo sar
aa.e husain haath jo nanhe se joḌ kar
be-iḳhtiyār rone lage sayyad-ul-bashar
rah rah ke dekhte the alī o butūl ko
nazdīk thā qalaq se ġhash aa.e rasūl ko
thī āñsuoñ se rīsh-e-mubārak tamām nam
fart-e-bukā se ḳhaak pa jhukte the dam-ba-dam
gaahe sutūñ se lag ke hue raast gaah ḳham
har lahza iztirāb ziyāda thā sabr kam
ho saktā thā na zabt shah-e-mashriqain se
rote the baar baar lipaT kar husain se
shabbīr ro ke kahte the naanā na roiye
ro.eñge ab na ham shah-e-vālā na roiye
hilne lagegā arsh-e-muallā na roiye
phaTtā hai ab hamārā kaleja na roiye
sau baar din meñ ham to muñh ashkoñ se dhote haiñ
hazrat hamāre rone pe kaahe ko rote haiñ
ghabrā ga.e alī-e-valī shāh-e-bahr-o-bar
kī arz fātima ne jhukā ke qadam pe sar
beTī nisār ho ga.ī yā sayyad-ul-bashar
kyā vaj.h hai jo aap haiñ is tarah nauha gar
jaldī batā.iye ki mujhe taab ab nahīñ
ronā ḳhudā ke dost kā ye be-sabab nahīñ
hazrat ko ilm-e-ġhaib hai yā shāh-e-ins-o-jāñ
ā.inda o guzishta kā sab haal hai ayaañ
kyā aa.ī aaj vahī-e-ḳhudāvand-e-do-jahāñ
honā hai jo husain pe mujh se karo bayāñ
fāqoñ se kāTtī huuñ musībat jahān kī
kyuuñ bāba-jān ḳhair to hai is kī jaan kī
bole jigar ko thaam ke mahbūb-e-zul-jalāl
tujh se sunā na jā.egā ai fātima ye haal
kis muñh se maiñ kahūñ ki qalaq hai mujhe kamāl
zehrā shahīd hue hoveñge tere ye donoñ laal
mātam kī ye ḳhabar abhī jibrīl laa.e the
saare malak husain ke purse ko aa.e the
almās pī ke huegā be-jāñ tirā hasan
ye vaj.h hai ki chūmtā huuñ us kā maiñ dahan
bhar jā.egā kalejoñ ke TukḌoñ se sab lagan
hogā zamurradī tire is laal kā badan
sū-e-bahisht jab ye jahāñ se sidhāreñge
bad-kesh tiir is ke janāze pa māreñge
zehrā mujhe kalām kī tāqat nahīñ hai ab
halq-e-husain chūmne kā kyā kahūñ sabab
ik ban meñ tiin roz raheñge ye tishna-lab
kaT jā.egā galā yahī ḳhanjar se hai ġhazab
neze pe sar chaḌhegā tire nūr-e-ain kā
ghoḌoñ se rauñd Dāleñge lāsha husain kā
ro.e ḳhabar ye kah ke jo mahbūb-e-zul-minan
ghabrā ke muñh husain kā takne lage hasan
zehrā pukārī haa.e luTegā mirā chaman
maiñ mar ga.ī duhā.ī hai yā sarvar-e-zaman
ye kaisī aag hai ki mirī kokh jal ga.ī
hai hai chhurī kaleje pe zehrā ke chal ga.ī
fariyād yā-nabī shah-e-abrār al-ġhiyās
ai mursilān-e-haq ke madad-gār al-ġhiyās
ai be-kasoñ ke vāris o sardār ul-ġhiyās
qudarat hai sab tarah kī shah-e-mashriqain ko
hazrat se lūñgī apne hasan aur husain ko
kis jurm par ye laal mire qatl hoñge aah
ro kar kahā rasūl-e-ḳhudā ne ki be-gunāh
kī arz fātima ne ki ai arsh-e-bār-gāh
bachchoñ ko mere kyā na milegī kahīñ panāh
talvāreñ kheñch kheñch ke zālim jo ā.eñge
hazrat na kyā navāsoñ ko apne bachā.eñge
āsāñ hai kyā jo qatl kareñge sitam-shi.ār
kyā sher-e-haq kamar se na khīñcheñge zul-fiqār
aadā pe kyā chalegā na dast-e-ḳhudā kā vaar
bāloñ ko kyā na kholegī zehrā jigar figār
TukḌe jigar jo huegā mujh dil do-nīm kā
paaya na kyā hilā.ūñgī arsh-e-azīm kā
zehrā se ro ke kahne lage shāh-e-nek-ḳhū
beTī mujhe satā.eñge turbat meñ kīna-jū
is vaqt qatl hoveñge ye donoñ māh-rū
duniyā meñ jab na hogā alī aur na maiñ na tū
lāshe pe mujtabā ke tū shabbīr ro.egā
shabbīr jab maregā to koī na huegā
chillā.ī sar paTak ke ye zehrā ki hai sitam
pīTegā kaun tan se jo niklegā us kā dam
mātam kī saf bichhā.egā kaun ai shah-e-umama
purse ko kaun aa.egā us ke ba-chashm-e-nam
ham meñ se aise vaqt jo koī na huegā
hai hai mire husain ko phir kaun ro.egā
bachche kī mere tāziya-dārī karegā kaun
muñh Dhāñp Dhāñp girya-o-zārī karegā kaun
dariyā-e-ashk chashm se jaarī karegā kaun
imdād bād-e-marg hamārī karegā kaun
hogā kahāñ nabī ke navāse kā fātiha
sharbat pe kaun devegā pyāse kā fātiha
bole nabī ki aap ko zehrā na kar halāk
farmā chukā hai mujh se ye va.ada ḳhudā-e-pāk
paidā kareñge qaum ik aisī ba-rū-e-ḳhāk
jo raat din raheñge isī ġham meñ dard-nāk
bazm-e-azā meñ ā.eñge vo duur duur se
tan ḳhaak se banā.eñge dil un ke nuur se
hogī unhīñ se majlis-e-mātam kī zeb-o-zain
deñge unheñ vo lab ki rahe jis pe vā husain
āñkheñ vo deñge rone ko samjheñ jo farz-e-ain
haath aise ġhair sīna-zanī ho jinheñ na chain
sāmān tāziyat ke kabhī kam na hoveñge
vo hashr tak husain ke mātam meñ ro.eñge
hogā ayaañ falak pe moharram kā jab hilāl
raḳht-e-siyāh pahneñge bar meñ vo ḳhush-ḳhisāl
kholeñgī bībayāñ bhī sab apne saroñ ke baal
har ghar meñ hogā shor ki hai hai alī kā laal
leñge sile meñ ḳhuld tire nūr-e-ain se
aañsū aziiz vo na kareñge husain se
pyāsā shahīd hogā jo terā ye dil-rubā
momin sabīleñ rakkheñge paanī kī jā-ba-jā
hovegī shaad ruuh shahīdān-e-karbalā
bhar bhar ke āb-e-sard pukāreñge barmalā
mahbūb-e-kibriyā ke navāse kī nazr hai
pyāse na jā.iyo ki ye pyāse kī nazr hai
kahne lagī nabī se butūl-e-falak-janāb
hai hai maiñ kyā karūñ mire dil ko nahīñ hai taab
ai bādshāh-e-kaun-o-makāñ mālikur-riqāb
dargāh-e-haq meñ aap kī hai arz mustajāb
kiije duā ki ḳhāliq-e-akbar madad kare
allāh ye balā mire bachche kī rad kare
beTī se ro ke kahne lage shāh-e-kā.enāt
rūh-ul-amīñ ne mujh se to ye bhī kahī hai baat
chāho to rad kare ye balā rabb-e-pāk-zāt
lekin na huegī mire ummat kī phir najāt
mahbūb-e-haq nisār tire nūr-e-ain par
mauqūf hai ye amar to qatl-e-husain par
allāh-re sabr-e-mahbūb-e-kirdgār
ummat kā naam sun ke jhukāyā sar ek baar
ḳhush-nūd ho ke kahne lage shāh-e-zul-fiqār
sadqe hasan husain tasadduq alī nisār
is raah meñ na maal na daulat aziiz hai
pyāre pisar nahīñ hameñ ummat aziiz hai
kahne lage husain se phir shāh-e-bahr-o-bar
batlā mujhe ki kyā tirī marzī hai ai pisar
naanā se bole chhoTe se hāthoñ ko joḌ kar
ummat ke kaam aa.e to hāzir abhī hai sar
va.ada ko ham na bhūleñge go ḳhurd-sāl haiñ
chhoTe nahīñ haiñ muḳhbir-e-sādiq ke laal haiñ
rote haiñ aap kis liye yā sayyad-e-umam
raazī haiñ ham pe rāh-e-ḳhudā meñ hoñ jo sitam
talvāreñ bhī chaleñ to nahīñ mārne ke dam
ummat pe apne sar ko tasadduq kareñge ham
ham rāst-go haiñ baat pe jis vaqt aate haiñ
kahte haiñ jo zabāñ se vahī kar dikhāte haiñ
bachpan meñ jo zabāñ se kahā thā kiyā vo kaam
jis vaqt ran meñ TuuT paḌe shah pe fauj-e-shām
gardan jhukā ke barchhiyāñ khāyā kiye imaam
ḳhuuñ meñ qabā rasūl kī tar ho ga.ī tamām
teġheñ alī ke laal ke shāne pe chal ga.iiñ
chhātī ke paar nezoñ kī nokeñ nikal ga.iiñ
pherī na thī jo pusht-e-mubārak dam-e-masāf
the do hazār zaḳhm faqat sar se tā-ba-nāf
sayyad se be-vatan se zamāna thā bar-ḳhilāf
ġhul thā ki aaj hotā hai ghar fātima kā saaf
sambhlā na jā.egā ḳhalaf-e-bū-turāb se
lo vo qadam husain ke nikle rikāb se
meñh kī tarah barasne lage shāh-e-dīñ pe tiir
tharrā rahe the lag ke tan-e-nāznīñ pe tiir
dāman pe tiir jaib pe tiir āstīñ pe tiir
pahlū pe teġh siina pe neza jabīñ pe tiir
dāġhoñ se ḳhuuñ ke raḳht-e-badan lāla-zār thā
shakl-e-zarīh sīna-e-aqdas figār thā
tar thī lahū meñ zulf-e-shikan-dar-shikan judā
majrūh lāl-e-lab the judā aur dahan judā
darpai the neza-dār judā teġhzan judā
kaT kaT ke ho gayā thā har ik uzv-e-tan judā
sī-pāra thā na sadr faqat us janāb kā
purze varaq-varaq thā ḳhudā kī kitāb kā
kartā thā vaar barchhiyoñ vāloñ kā jab parā
teġhoñ se dam bhī lene kī mohlat na thī zarā
nezoñ meñ ḳhuuñ nabī ke navāse kā thā bharā
shamshīr-o-tīr neza-o-ḳhanjar ke māvarā
thiiñ saḳhtiyāñ sitam kī shah-e-ḳhush-ḳhisāl par
chalte the sañg fāima-zehrā ke laal par
the do hazār jism-e-shah-e-bahr-o-bar pe zaḳhm
māthe pe zaḳhm tiir ke teġhoñ ke sar pe zaḳhm
gardan pe zaḳhm siine pe zaḳhm aur kamar pe zaḳhm
aur is ke māvarā the bahattar jigar pe zaḳhm
ghoḌe pe gah sambhalte the gah Dagmagāte the
ġhash aatā thā to hirne pe sar ko jhukāte the
ghoḌe pe jab sambhalne kī mutlaq rahī na taab
hāthoñ se baag chhūT ga.ī aur paañv se rikāb
girne lagā jo ḳhaak pe vo āsmāñ-janāb
marqad meñ be-qarār huī rūh-e-bū-turāb
ġhul thā ki ḳhaak par shah-e-kaun-o-makāñ girā
bas ab zamīñ ulaT ga.ī aur āsmāñ girā
jaltī huī zamīñ pe taḌapne lage imaam
be-kas pe zālimoñ ne kiyā aur izhdihām
us vaqt shimr se ye umar ne kiyā kalām
haañ tan se jald kaaT sar-e-sarvar-e-anām
dariyo na sun ke fāima-zehrā kī aah ko
gul kar de sham-e-qabr-e-risālat-panāh ko
ye sunte hī chaḌhā.ī sitam-gar ne āstīñ
ḳhanjar kamar se khīñch ke aage baḌhā liiñ
the qibla-rū jhuke hue sajde meñ shāh-e-dīñ
lab hilte dekhe shaah ke aayā vo jab qarīñ
samjhā ki tishnagī se jo sadme guzarte haiñ
us vaqt bad-duā mujhe shabbīr karte haiñ
jhuk kar qarīb kaan jo laayā to ye sunā
haq meñ gunāhgāroñ ke karte haiñ shah duā
jaarī zabān-e-ḳhushk pe ye hai ki ai ḳhudā
kar hājatoñ ko mere muhibboñ kī to ravā
shī.oñ kā hashr roz-e-jazā mere saath ho
merā ye ḳhūñ-bahā hai ki un kī najāt ho
ye sun ke musta.id huā vo shah ke qatl par
zaanū rakhā husain ke siine pa be-ḳhatar
gardan pe pherne lagā ḳhanjar jo bad-guhar
aa.ī sadā alī kī ki hai hai mire pisar
zehrā pukārī kuchh bhī nabī se hijāb hai
zālim ye bosa-gāh-e-risālat-ma.āb hai
kyuuñ zab.h mere laal ko kartā hai be-gunāh
kyuuñ kāTtā hai mere kaleje ko rū-siyāh
kashtī ko ahl-e-bait-e-nabī kī na kar tabāh
maiñ fātima huuñ arsh hilā.egī merī aah
huegā hashr qatl jo ye be-vatan huā
ye mar gayā to ḳhātma-e-panj-tan huā
āvāz apnī maañ kī ye zainab ne jab sunī
dauḌī nikal ke ḳheme se sar pīTtī huī
dekhā ki zab.h kartā hai hazrat ko vo shaqī
sar piiT kar ye kahne lagī vo jigar-jalī
hai hai na tiin roz ke pyāse ko zab.h kar
zālim na mustafā ke navāse ko zab.h kar
baano pukārtī thī ye kyā kartā hai la.iiñ
pyāsā hai tiin roz se haidar kā jā-nashīñ
chillātī thī sakīna ki jiine kī maiñ nahīñ
baabā ko zab.h kartā hai kyuuñ ai udū-e-dīñ
ḳhanjar na pher chāñd sī gardan pe rahm kar
abbā ko chhoḌ de mire bachpan pe rahm kar
zaḳhmoñ se chuur chuur hai zehrā kā yādgār
jis chhātī par meñ sotī thī us par hai to savār
baabā ke halq par na phirā ab chhurī kī dhaar
badle pidar ke sar ko mare tan se tū utaar
sayyad pe tishna-lab pe sitam is qadar na kar
potī huuñ fātima kī mujhe be-pidar na kar
ro kar bayāñ ye kartī thī vo soḳhta-jigar
de kar duhā.ī ahl-e-haram pīTte the sar
kartā thā zab.h shah ko vahāñ shimr-e-bad guhar
farmāte the ye shaah ki pyāsā huuñ rahm kar
paanī diyā na haa.e nabī ke navāse ko
jallād zab.h karne lagā bhūke pyāse ko
āḳhir sar-e-imām-e-umam tan se kaT gayā
chillā ke fātima ne ye zainab ko dī sadā
maidāñ se jald le ke sakīna ko ghar meñ jā
be-jurm kaT gayā tire maañ jaa.e kā galā
maarā ba-zulm shimr ne pyāse ko jaan se
maiñ laT ga.ī husain sidhāre jahān se
bas ai 'anīs' bazm meñ hai nāla-o-fuġhāñ
pūchh un ke dil se jo haiñ suḳhan-fahm nukta-dāñ
haq hai sunā nahīñ kabhī us husn kā bayāñ
goyā ki ye ḳhalīq kī hai sar-ba-sar zabāñ
sach hai ki is zabāñ ko koī jāntā nahīñ
jo jāntā hai aur ko vo māntā nahīñ
dasht-e-wigha mein nur-e-KHuda ka zuhur hai
dasht-e-wigha mein nur-e-KHuda ka zuhur hai
zarron mein raushni-e-tajalli-e-tur hai
ek aaftab-e-ruKH ki ziya dur dur hai
koson zamin aks se dariya-e-nur hai
allah-re husn tabqa-e-ambar-sarisht ka
maidan-e-karbala hai namuna bahisht ka
hairan zamin ke nur se hai charKH-e-lajward
manind-e-kahruba hai ruKH-e-aftab-e-zard
hai ru-kash-e-faza-e-iram wadi-e-nabard
uThta hai KHak se tataq-e-nur ja-e-gard
hairat se hamilan-e-falak un ko takte hain
zarre nahin zamin pe sitare chamakte hain
hai aab-e-nahr surat-e-aina jalwa-gar
taban hai misl-e-chashma-e-KHurshid har bhanwar
lahren bisan-e-barq chamakti hain sar-ba-sar
pani pe machhliyon ki Thaharti nahin nazar
ye aab-o-tab hai ki guhar aab aab hain
dariya to aasman hain sitare hubab hain
partaw-fagan hua jo ruKH-e-qibla-e-anam
mashhur ho gai wo zamin arsh-ehtisham
aur sang-reze durr-e-najaf ban gae tamam
sahra ko mil gaya sharaf-e-wadi-assalam
kabe se aur najaf se bhi izzat siwa hui
KHak us zamin-e-pak ki KHak-e-shifa hui
phaila jo nur-e-mahr-e-imamat dam-e-zawal
zarron se wan ke aankh milana hua muhaal
sare nihaal faiz-e-qadam se hue nihaal
aKHtar bane jo phul to shaKHen banin hilal
patte tamam aaina-e-nur ho gae
sahra ke naKHl sab shajar-e-tur ho gae
ghul tha zahe husain ki shaukat zahe waqar
goya khaDe hain jang ko mahbub-e-kirdgar
ruKH se ayan hai dabdaba-e-shah-e-zul-fiqar
hai nur-e-haq jabin-e-munawwar se aashkar
kyunkar chhupe na mah-e-do-hafta hijab se
chauda tabaq mein nur hai us aaftab se
ye ru-e-raushan aur ye gesu-e-mushk-e-fam
yan sham mein to subh hai aur subh mein hai sham
haale mein yun nazar nahin aata hai mah tamam
qudarat KHuda ki nur ka zulmat mein hai maqam
zulfon mein jalwa-gar nahin chehra janab ka
hai nisf shab mein aaj zuhur aaftab ka
qurban kaman-e-abru-e-maula pe jaan o dil
gar mah-e-nau kahen to hai tashbih mubtazil
chashm-e-ghazal-e-dasht-e-KHutan chashm se KHajil
dekha jise karam se KHataen huin bahil
putli bisan-e-qibla-numa be-qarar hai
giryan hain wo ye gardish-e-lail o nahaar hai
ruKHsar hain ziya mein qamar se ziyaada-tar
jin par Thahar saki na kabhi shams ki nazar
rish-e-moKHazzab aur ye ruKH-e-shah-e-bahr o bar
paida hain saf mani-e-wal-lailo-o-wal-qamar
quran se ayan hai buzurgi imam ki
khai qasam KHuda ne isi subh o sham ki
kis munh se kijiye lab-e-jaan-baKHsh ka bayan
chusi jinhon ne ahmad muKHtar ki zaban
kya durr-e-ab-dar hain is durj mein nihan
goya ki motiyon ka KHazana hai ye dahan
zarre zamin pe aks se sare chamak gae
jis waqt ye khile to sitar chamak gae
sham-e-harim-e-lam-yazali tha gulu-e-shah
tarik shab mein jaise huwaida ho nur-e-mah
ai charKH-e-be-madar ye kaisa sitam hai aah
shamshir-e-shimr aur mohammad ki bosa-gah
jis par rasul honTon ko malte hon pyar se
kaT jae karbala main wo KHanjar ki dhaar se
manzur yan thi madh-e-gulu-e-shah-e-umam
yaad aa gai magar ye hadis-e-gham-o-alam
masjid mein jalwa-gar the rasul-e-falak-hasham
malte the zikr-e-haq mein lab-e-pak dam-ba-dam
raushan the baam-o-dar ruKH-e-raushan ke nur se
aaina ban gai thi zamin tan ke nur se
tha jo sutun ki rukn-e-risalat ka takiya-gah
kursi bhi us ki pusht ki thi DhunDhti panah
tha jis hasir par wo do aalam ka baadshah
hasrat se arsh karta tha us farsh par nigah
auj-e-zamin bahisht-e-barin se do-chand tha
mimbar ka nuh falak se bhi paya buland tha
ashab-e-KHas gird the anjum ki tarah sab
taban tha bich mein wo mah-e-hashmi-laqab
sar par malak-sifat magas-raan the do arab
jibril tah kiye hue the zanu-e-adab
KHadim bilal-o-qumbar-e-gardun-asas tha
nalain is ke pas asa us ke pas tha
gesu the wo mufassir-e-wallail-iza-saja
ruKH se ayan the mani-e-washshams-o-wa-zzuha
wo rish-e-pak aur ruKH-e-sardar-e-ambiya
goya dhara tha rehl pe quran khula hua
oDhe siyah aba jo wo aalam-panah tha
kaba ka saf hajiyon ko ishtibah tha
pahlu mein baadshah ke tha jalwa-gar wazir
sardar-e-din ali-e-wali KHalq ka amir
donon jahan mein koi na donon ka tha nazir
ahmad the aaftab to haidar mah-e-munir
zahir mein ek nur ka do ja zuhur tha
gar ghaur kijiye to wahi ek nur tha
masruf-e-waz-o-pand the sultan-e-mashriqain
jo ghar se nikle khelte zohra ke nur ain
nana baghair donon nawason ko tha na chain
baDh jate the hasan kabhi aage kabhi husain
kahte the dekhen kaun qadam jald uThata hai
nana ke pas kaun bhala pahle jata hai
wo gore gore chehron pe zulfen idhar udhar
aKHtar se wo chamakte hue kan ke guhar
rashk-e-hilal tauq gale ghairat-e-qamar
haikal pe naqsh nam KHuda-e-jalil ke
tawiz gardanon pe par-e-jibril ke
masjid mein aae hanste hue jab wo gul-badan
KHushbu se sehan-e-masjid-e-jame bana chaman
taslim ko husain se pahle jhuke hasan
KHush ho ke muskurane lage sarwar-e-zaman
baDh baDh ke KHam salam ko chhoTe baDe hue
baiThe rahe rasul malak uTh khaDe hue
beTon ko tha ali ka ishaara ki baiTh jao
lazim nahin ki waz mein nana ko tum satao
phaila ke hath bole mohammad ki aao aao
shabbir ne kaha hamein pahle gale lagao
bhai hasan jo aap ki godi mein aaen ge
hum tum se nana jaan abhi ruTh jaen ge
bole hasan ki wah hamein aur karen na pyar
iqrar ke chuke hain shahanshah-e-nam-dar
bole ba-chashm-e-nam ye husain-e-falak-waqar
dekhen to kaun kandhe pe hota hai ab sawar
sab se siwa jo hain so hamin un ke pyare hain
aage na baDhiye aap ki nana hamare hain
bhai se tab kaha ye hasan ne ba-iltifat
be-wajh hum se ruThe ho tum ai niko-sifat
nana hamare kya nahin sultan-e-kaenat
hoti hai nagawar tumhein to zara si baat
ghussa na itna chahiye KHush-KHu ke waste
machle the yun hi bachcha-e-ahu ke waste
ye sun ke munh ali ka lage dekhne rasul
hans kar kaha ye donon hain mere chaman ke phul
main chahta hun ek ki KHatir na ho malul
roenge ye to ghar se nikal aaegi butul
howe na ranj mere kisi nur-e-ain ko
tum lo hasan ko god mein main lun husain ko
shabbar se phir ishaara kiya ho ke be-qarar
ghussa na khao pahle tumhin ko karenge pyar
phir bole dekh kar su-e-shabbir-e-nam-dar
aa ai husain aa teri baaton ke main nisar
chhati se hum lagaenge jaan apni jaan kar
dekhen to pahle kaun lipaTta hai aan kar
dauDe ye baat sun ke barabar wo KHush-sayar
pas aae aaftab-e-risalat ke do qamar
lipTe husain hans ke idhar aur hasan udhar
the panw zanuon pe to baala-e-dosh sar
nana ke sath pyar mein donon ka sath tha
gardan mein ek un ka aur un ka hath tha
phir phir ke dekhte the shahanshah-e-mashriqain
gah jaanib-e-hasan to kabhi jaanib-e-husain
baiThe jo zanuon pe wo zehra ke nur-e-ain
tha tan ko lutf qalb ko rahat jigar ko chain
jhuk jhuk ke munh rasul-e-zaman chumne lage
in ka gala to un ka dahan chumne lage
shabbir chahte the ki chumen mere bhi lab
par kuchh gale ke boson ka khulta na tha sabab
nana ke munh ke pas ye late the munh ko jab
jhuk jhuk ke chumte the gala sayyad-e-arab
bhai ko dekh kar jo hasan muskuraate the
ghairat se un ki aankhon mein aansu bhar aate the
uTThe husain zanu-e-ahmad se KHashm-gin
ghusse se rang zard aur aankhon pe aastin
ruKH par pasina jism mein rasha jabin pa chin
puchha kidhar chale to ye bole kahin nahin
ghar mein akele tewari chaDhae chale gae
dekha na phir ke sar ko jhukae chale gae
baitushsharf mein aae jo shabbir-e-nam-dar
kurte ko munh pe rakh ke lage rone zar-zar
dauDin ye kah ke faima-zehra jigar-figar
hai hai husain kya hua tu kyun hai ashk-bar
tujh ko rula ke gham mein mujhe mubtala kiya
qurban ho gai tujhe kis ne KHafa kiya
mera kaleja phahTta hai ai dilruba na ro
zehra hazar jaan se tujh pe fida na ro
sar mein na dard ho kahin ai mah-laqa na ro
bas bas na ro husain bara-e-KHuda na ro
meri taraf to dekho ki betab hoti hun
chadar se munh ko Dhanp ke lo main bhi roti hun
tu munh to khol ai mere shabbir-e-KHush-KHisal
tar ho gae hain aansuon se gore gore gal
mal mal ke pusht-e-dast se aankh karo na lal
suljhaun aao uljhe hue gesuon ke baal
ghar se gae the sath juda ho ke aae ho
samjhi main kuchh hasan se KHafa ho ke aae ho
tum chup raho wo ghar mein to masjid se phir ke aaen
guzri main khel se mere bachche ko kyun rulaen
un se na boliyo wo tumhein lakh gar manaen
lo aao jaane do tumhein chhati se hum lagaen
wari agar hasan ne rulaya bura kiya
puchhungi kya na main mere pyare ne kya kiya
bole husain hum to hain is baat par KHafa
nana ne chume bhai ke honT aur mera gala
tum amman-jaan munh ko to sungho mere zara
kuchh bu-e-nagawar hai mere dahan mein kya
bhai ke lab se apne labon ko milate hain
ab hum na jaen ge hamein nana rulate hain
munh rakh ke munh pe boli ye zehra jigar-figar
bu-e-gulab aati hai ai mere gul-azar
chuma agar gala to KHafa ho na main nisar
tum ko zaban chusate the mahbub-e-kirdgar
ye mushk mein mahak na gul-e-yasman mein hai
KHush-bu usi dahan ki tumhaare dahan mein hai
kahne lage husain ye man se ba-chashm-e-nam
kya jaano tum hasan se hamein chahte hain kam
ye kya unhin pe lutf-o-inayat hai dam-ba-dam
malum ho gaya unhen pyare nahin hain hum
ro ro ke aaj jaan hum apni ganwaenge
pani na ab piyenge na khane ko khaenge
ye baat sun ke ho gaya zehra ka rang faq
boli pisar se ro ke wo bint-e-rasul-e-haq
sadqe gai karo na kaleje ko mere shaq
hai hai ye kya kaha mujhe hota hai ab qalaq
mera lahu bahega jo aansu bahaoge
kahe ko man jiyegi jo khana na khaoge
ye kah ke oDh li sar-e-pur-nur par rida
moze pahan ke god mein shabbir ko liya
dar tak gai jo ghar se wo dil-band-e-mustafa
fizza ne baDh ke buzar o salman ko di sada
pesh-e-nabi husain ko godi mein lati hain
haT jao sab ki fatima masjid mein aati hain
allah-re aamad aamad-e-zehra ka bandobast
saton falak the auj-e-sharafat se jis ke past
ahmad ke gird-o-pesh se uTThe KHuda-parast
insan to kya malak ko na thi qudarat-e-nishast
aain to shad-shad rasul-e-zaman hue
ghar mein KHuda ke ek jagah panj-tan hue
tazim-e-fatima ko uThe sayyad-ul-bashar
dekha ki chashm-e-fatima hai aansuon se tar
gham the husain dosh pe man ke jhukae sar
tha ek hilal mahr ke pahlu mein jalwa-gar
man kahti thi na rowo magar chup na hote the
aankhen thin band hichkiyan le le ke rote the
ghabra ke puchhne lage mahbub-e-zul-jalal
rota hai kyun husain ye kya hai tumhaara haal
bolin butul aaj qalaq hai mujhe kamal
roya hai ye husain ki aankhen hain donon lal
aate hain hanste rote hue ghar mein jate hain
shafqat bhi aap hi karte hain aap hi rulate hain
hathon ko joDti hun main ya shah-e-bahr-o-bar
shafqat ki us ke haal pe har-dam rahe nazar
rone se us ke hota hai TukDe mera jigar
mujh faqa-kash gharib ka pyara hai ye pisar
haidar se puchhiye mere usrat ke haal ko
kis kis dukhon se pala hai is naunihaal ko
ashk us ke jitne Tapke hain ya shah-e-nek-KHu
utna hi ghaT gaya hai mere jism ka lahu
roe hain phuT phuT ke ye mere ru-ba-ru
tar ho gaya hai aansuon se chand sa gulu
dekha na tha ye main ne jo haal is ka aaj hai
hazrat to jaante hain ki nazuk mizaj hai
shafqat se aaj aap ne chume hasan ke lab
bosa liya na un ke labon ka ye kya sabab
rutbe mein donon ek hain ya surwar-e-arab
main sach kahun ye sun ke mujhe bhi hua ojab
is ko jo ho KHushi to dil is ka bhi shad ho
chhoTe se chahiye ki mohabbat ziyaad ho
aap un ke naz uThate hain ya shah-e-bahr-o-bar
phir kis se ruThen aap se ruThen na ye agar
aksar inhen chaDhaya hai hazrat ne dosh par
gesu diye hain nanhe se hathon mein besh-tar
ruThe the ye so qadmon pe sar dharne aae hain
munh ke na chumne ka gila karne aae hain
ye kah ke phir husain se bolin ba-chashm-tar
lo ja ke ab nabi ke qadam par jhukao sar
aae husain hath jo nanhe se joD kar
be-iKHtiyar rone lage sayyad-ul-bashar
rah rah ke dekhte the ali o butul ko
nazdik tha qalaq se ghash aae rasul ko
thi aansuon se rish-e-mubarak tamam nam
fart-e-buka se KHak pa jhukte the dam-ba-dam
gahe sutun se lag ke hue rast gah KHam
har lahza iztirab ziyaada tha sabr kam
ho sakta tha na zabt shah-e-mashriqain se
rote the bar bar lipaT kar husain se
shabbir ro ke kahte the nana na roiye
roenge ab na hum shah-e-wala na roiye
hilne lagega arsh-e-mualla na roiye
phaTta hai ab hamara kaleja na roiye
sau bar din mein hum to munh ashkon se dhote hain
hazrat hamare rone pe kahe ko rote hain
ghabra gae ali-e-wali shah-e-bahr-o-bar
ki arz fatima ne jhuka ke qadam pe sar
beTi nisar ho gai ya sayyad-ul-bashar
kya wajh hai jo aap hain is tarah nauha gar
jaldi bataiye ki mujhe tab ab nahin
rona KHuda ke dost ka ye be-sabab nahin
hazrat ko ilm-e-ghaib hai ya shah-e-ins-o-jaan
aainda o guzishta ka sab haal hai ayan
kya aai aaj wahi-e-KHudawand-e-do-jahan
hona hai jo husain pe mujh se karo bayan
faqon se kaTti hun musibat jahan ki
kyun baba-jaan KHair to hai is ki jaan ki
bole jigar ko tham ke mahbub-e-zul-jalal
tujh se suna na jaega ai fatima ye haal
kis munh se main kahun ki qalaq hai mujhe kamal
zehra shahid hue howenge tere ye donon lal
matam ki ye KHabar abhi jibril lae the
sare malak husain ke purse ko aae the
almas pi ke huega be-jaan tera hasan
ye wajh hai ki chumta hun us ka main dahan
bhar jaega kalejon ke TukDon se sab lagan
hoga zamurradi tere is lal ka badan
su-e-bahisht jab ye jahan se sidhaarenge
bad-kesh tir is ke janaze pa marenge
zehra mujhe kalam ki taqat nahin hai ab
halq-e-husain chumne ka kya kahun sabab
ek ban mein tin roz rahenge ye tishna-lab
kaT jaega gala yahi KHanjar se hai ghazab
neze pe sar chaDhega tere nur-e-ain ka
ghoDon se raund Dalenge lasha husain ka
roe KHabar ye kah ke jo mahbub-e-zul-minan
ghabra ke munh husain ka takne lage hasan
zehra pukari hae luTega mera chaman
main mar gai duhai hai ya sarwar-e-zaman
ye kaisi aag hai ki meri kokh jal gai
hai hai chhuri kaleje pe zehra ke chal gai
fariyaad ya-nabi shah-e-abrar al-ghiyas
ai mursilan-e-haq ke madad-gar al-ghiyas
ai be-kason ke waris o sardar ul-ghiyas
qudarat hai sab tarah ki shah-e-mashriqain ko
hazrat se lungi apne hasan aur husain ko
kis jurm par ye lal mere qatl honge aah
ro kar kaha rasul-e-KHuda ne ki be-gunah
ki arz fatima ne ki ai arsh-e-bar-gah
bachchon ko mere kya na milegi kahin panah
talwaren khench khench ke zalim jo aaenge
hazrat na kya nawason ko apne bachaenge
aasan hai kya jo qatl karenge sitam-shiar
kya sher-e-haq kamar se na khinchenge zul-fiqar
aada pe kya chalega na dast-e-KHuda ka war
baalon ko kya na kholegi zehra jigar figar
TukDe jigar jo huega mujh dil do-nim ka
paya na kya hilaungi arsh-e-azim ka
zehra se ro ke kahne lage shah-e-nek-KHu
beTi mujhe sataenge turbat mein kina-ju
is waqt qatl howenge ye donon mah-ru
duniya mein jab na hoga ali aur na main na tu
lashe pe mujtaba ke tu shabbir roega
shabbir jab marega to koi na huega
chillai sar paTak ke ye zehra ki hai sitam
piTega kaun tan se jo niklega us ka dam
matam ki saf bichhaega kaun ai shah-e-umama
purse ko kaun aaega us ke ba-chashm-e-nam
hum mein se aise waqt jo koi na huega
hai hai mere husain ko phir kaun roega
bachche ki mere taziya-dari karega kaun
munh Dhanp Dhanp girya-o-zari karega kaun
dariya-e-ashk chashm se jari karega kaun
imdad baad-e-marg hamari karega kaun
hoga kahan nabi ke nawase ka fatiha
sharbat pe kaun dewega pyase ka fatiha
bole nabi ki aap ko zehra na kar halak
farma chuka hai mujh se ye wada KHuda-e-pak
paida karenge qaum ek aisi ba-ru-e-KHak
jo raat din rahenge isi gham mein dard-nak
bazm-e-aza mein aaenge wo dur dur se
tan KHak se banaenge dil un ke nur se
hogi unhin se majlis-e-matam ki zeb-o-zain
denge unhen wo lab ki rahe jis pe wa husain
aankhen wo denge rone ko samjhen jo farz-e-ain
hath aise ghair sina-zani ho jinhen na chain
saman taziyat ke kabhi kam na howenge
wo hashr tak husain ke matam mein roenge
hoga ayan falak pe moharram ka jab hilal
raKHt-e-siyah pahnenge bar mein wo KHush-KHisal
kholengi bibayan bhi sab apne saron ke baal
har ghar mein hoga shor ki hai hai ali ka lal
lenge sile mein KHuld tere nur-e-ain se
aansu aziz wo na karenge husain se
pyasa shahid hoga jo tera ye dil-ruba
momin sabilen rakkhenge pani ki ja-ba-ja
howegi shad ruh shahidan-e-karbala
bhar bhar ke aab-e-sard pukarenge barmala
mahbub-e-kibriya ke nawase ki nazr hai
pyase na jaiyo ki ye pyase ki nazr hai
kahne lagi nabi se butul-e-falak-janab
hai hai main kya karun mere dil ko nahin hai tab
ai baadshah-e-kaun-o-makan malikur-riqab
dargah-e-haq mein aap ki hai arz mustajab
kije dua ki KHaliq-e-akbar madad kare
allah ye bala mere bachche ki rad kare
beTi se ro ke kahne lage shah-e-kaenat
ruh-ul-amin ne mujh se to ye bhi kahi hai baat
chaho to rad kare ye bala rabb-e-pak-zat
lekin na huegi mere ummat ki phir najat
mahbub-e-haq nisar tere nur-e-ain par
mauquf hai ye amar to qatl-e-husain par
allah-re sabr-e-mahbub-e-kirdgar
ummat ka nam sun ke jhukaya sar ek bar
KHush-nud ho ke kahne lage shah-e-zul-fiqar
sadqe hasan husain tasadduq ali nisar
is rah mein na mal na daulat aziz hai
pyare pisar nahin hamein ummat aziz hai
kahne lage husain se phir shah-e-bahr-o-bar
batla mujhe ki kya teri marzi hai ai pisar
nana se bole chhoTe se hathon ko joD kar
ummat ke kaam aae to hazir abhi hai sar
wada ko hum na bhulenge go KHurd-sal hain
chhoTe nahin hain muKHbir-e-sadiq ke lal hain
rote hain aap kis liye ya sayyad-e-umam
raazi hain hum pe rah-e-KHuda mein hon jo sitam
talwaren bhi chalen to nahin marne ke dam
ummat pe apne sar ko tasadduq karenge hum
hum rast-go hain baat pe jis waqt aate hain
kahte hain jo zaban se wahi kar dikhate hain
bachpan mein jo zaban se kaha tha kiya wo kaam
jis waqt ran mein TuT paDe shah pe fauj-e-sham
gardan jhuka ke barchhiyan khaya kiye imam
KHun mein qaba rasul ki tar ho gai tamam
teghen ali ke lal ke shane pe chal gain
chhati ke par nezon ki noken nikal gain
pheri na thi jo pusht-e-mubarak dam-e-masaf
the do hazar zaKHm faqat sar se ta-ba-naf
sayyad se be-watan se zamana tha bar-KHilaf
ghul tha ki aaj hota hai ghar fatima ka saf
sambhla na jaega KHalaf-e-bu-turab se
lo wo qadam husain ke nikle rikab se
meinh ki tarah barasne lage shah-e-din pe tir
tharra rahe the lag ke tan-e-naznin pe tir
daman pe tir jaib pe tir aastin pe tir
pahlu pe tegh sina pe neza jabin pe tir
daghon se KHun ke raKHt-e-badan lala-zar tha
shakl-e-zarih sina-e-aqdas figar tha
tar thi lahu mein zulf-e-shikan-dar-shikan juda
majruh lal-e-lab the juda aur dahan juda
darpai the neza-dar juda teghzan juda
kaT kaT ke ho gaya tha har ek uzw-e-tan juda
si-para tha na sadr faqat us janab ka
purze waraq-waraq tha KHuda ki kitab ka
karta tha war barchhiyon walon ka jab para
teghon se dam bhi lene ki mohlat na thi zara
nezon mein KHun nabi ke nawase ka tha bhara
shamshir-o-tir neza-o-KHanjar ke mawara
thin saKHtiyan sitam ki shah-e-KHush-KHisal par
chalte the sang faima-zehra ke lal par
the do hazar jism-e-shah-e-bahr-o-bar pe zaKHm
mathe pe zaKHm tir ke teghon ke sar pe zaKHm
gardan pe zaKHm sine pe zaKHm aur kamar pe zaKHm
aur is ke mawara the bahattar jigar pe zaKHm
ghoDe pe gah sambhalte the gah Dagmagate the
ghash aata tha to hirne pe sar ko jhukate the
ghoDe pe jab sambhalne ki mutlaq rahi na tab
hathon se bag chhuT gai aur panw se rikab
girne laga jo KHak pe wo aasman-janab
marqad mein be-qarar hui ruh-e-bu-turab
ghul tha ki KHak par shah-e-kaun-o-makan gira
bas ab zamin ulaT gai aur aasman gira
jalti hui zamin pe taDapne lage imam
be-kas pe zalimon ne kiya aur izhdiham
us waqt shimr se ye umar ne kiya kalam
han tan se jald kaT sar-e-sarwar-e-anam
dariyo na sun ke faima-zehra ki aah ko
gul kar de sham-e-qabr-e-risalat-panah ko
ye sunte hi chaDhai sitam-gar ne aastin
KHanjar kamar se khinch ke aage baDha lin
the qibla-ru jhuke hue sajde mein shah-e-din
lab hilte dekhe shah ke aaya wo jab qarin
samjha ki tishnagi se jo sadme guzarte hain
us waqt bad-dua mujhe shabbir karte hain
jhuk kar qarib kan jo laya to ye suna
haq mein gunahgaron ke karte hain shah dua
jari zaban-e-KHushk pe ye hai ki ai KHuda
kar hajaton ko mere muhibbon ki to rawa
shion ka hashr roz-e-jaza mere sath ho
mera ye KHun-baha hai ki un ki najat ho
ye sun ke mustaid hua wo shah ke qatl par
zanu rakha husain ke sine pa be-KHatar
gardan pe pherne laga KHanjar jo bad-guhar
aai sada ali ki ki hai hai mere pisar
zehra pukari kuchh bhi nabi se hijab hai
zalim ye bosa-gah-e-risalat-maab hai
kyun zabh mere lal ko karta hai be-gunah
kyun kaTta hai mere kaleje ko ru-siyah
kashti ko ahl-e-bait-e-nabi ki na kar tabah
main fatima hun arsh hilaegi meri aah
huega hashr qatl jo ye be-watan hua
ye mar gaya to KHatma-e-panj-tan hua
aawaz apni man ki ye zainab ne jab suni
dauDi nikal ke KHeme se sar piTti hui
dekha ki zabh karta hai hazrat ko wo shaqi
sar piT kar ye kahne lagi wo jigar-jali
hai hai na tin roz ke pyase ko zabh kar
zalim na mustafa ke nawase ko zabh kar
bano pukarti thi ye kya karta hai lain
pyasa hai tin roz se haidar ka ja-nashin
chillati thi sakina ki jine ki main nahin
baba ko zabh karta hai kyun ai udu-e-din
KHanjar na pher chand si gardan pe rahm kar
abba ko chhoD de mere bachpan pe rahm kar
zaKHmon se chur chur hai zehra ka yaadgar
jis chhati par mein soti thi us par hai to sawar
baba ke halq par na phira ab chhuri ki dhaar
badle pidar ke sar ko mare tan se tu utar
sayyad pe tishna-lab pe sitam is qadar na kar
poti hun fatima ki mujhe be-pidar na kar
ro kar bayan ye karti thi wo soKHta-jigar
de kar duhai ahl-e-haram piTte the sar
karta tha zabh shah ko wahan shimr-e-bad guhar
farmate the ye shah ki pyasa hun rahm kar
pani diya na hae nabi ke nawase ko
jallad zabh karne laga bhuke pyase ko
aaKHir sar-e-imam-e-umam tan se kaT gaya
chilla ke fatima ne ye zainab ko di sada
maidan se jald le ke sakina ko ghar mein ja
be-jurm kaT gaya tere man jae ka gala
mara ba-zulm shimr ne pyase ko jaan se
main laT gai husain sidhaare jahan se
bas ai 'anis' bazm mein hai nala-o-fughan
puchh un ke dil se jo hain suKHan-fahm nukta-dan
haq hai suna nahin kabhi us husn ka bayan
goya ki ye KHaliq ki hai sar-ba-sar zaban
sach hai ki is zaban ko koi jaanta nahin
jo jaanta hai aur ko wo manta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.