ajab aKHbar likkha ja raha hai
ajab aḳhbār likkhā jā rahā hai
ki manshā-vār likkhā jā rahā hai
likhī hai hāl-e-dil meñ hā.e-havvaz
ye hāl-e-zār likkhā jā rahā hai
kahīñ golī likhā hai aur kahīñ maar
ye golīmār likkhā jā rahā hai
maiñ rishta-dār huuñ us kā so mujh ko
sirishta-dār likkhā jā rahā hai
mizāj-e-yār barham hai ki us kī
majāz-e-yār likkhā jā rahā hai
samundar paar paḌhne jā rahā huuñ
samundar paar likkhā jā rahā hai
ajab aKHbar likkha ja raha hai
ki mansha-war likkha ja raha hai
likhi hai haal-e-dil mein hae-hawwaz
ye haal-e-zar likkha ja raha hai
kahin goli likha hai aur kahin mar
ye golimar likkha ja raha hai
main rishta-dar hun us ka so mujh ko
sirishta-dar likkha ja raha hai
mizaj-e-yar barham hai ki us ki
majaz-e-yar likkha ja raha hai
samundar par paDhne ja raha hun
samundar par likkha ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.