gadhon ka mushaere
ik raat maiñ ne ḳhvāb meñ dekhā ye mājrā
ik jā pe ho rahā hai gadhoñ kā mushā.ere
vo niile piile qumqume maidāñ harā-bharā
baiThā hai farsh-e-sabz pe ik surma.ī gadhā
jitne gad.he haiñ sab ke taḳhallus haiñ vāhiyāt
kone meñ baiThī dum ko hilātī haiñ ḳharriyāt
kuchh moTe taaze ḳhar the ka.ī lāġhar-o-nahīf
kuchh fanne-ḳhāñ gad.he the ka.ī mehrbāñ sharīf
kuchh aise-vaise aur ka.ī shā.erī ke chief
sarqa-pasand aaTh the aur das ġhazal ke thief
Dhen.chū meñ jin kī rañg thā vo saare hiT ga.e
vāqif na the jo saat suroñ se vo piT ga.e
bā-hosh jo gad.he the vo baiThe gadhī ke paas
'saġhar' bhī jā ke baiTh ga.e ras-bharī ke paas
kaddū sā sar liye hue chhappan-chhurī ke paas
ismat thā jis kā naam vo baiThī darī ke paas
barfī sī thūthnī pe likhe band dosto
muñh meñ zabān hai ki shakarqand dosto
sīdhī kanautiyoñ meñ vo bandoñ kī āb-o-tāb
āvāz-e-sho.ala-var meñ mahaktī huī sharāb
palkoñ kī chilmanoñ meñ chhupe raushnī ke ḳhvāb
toḌe paḌā thā jism ko uThtā huā shabāb
qadreñ thiiñ jin ke paas vo sar ko jhukā.e the
jo manchale gad.he the vo thūthan uThā.e the
mike pe aa ke shor machāte hue gad.he
pānoñ kī jā pe ghaas chabāte hue gad.he
tirshūl zehn o dil pe chalāte hue gad.he
dīvār nafratoñ kī uThāte hue gad.he
jo the urūz-dāñ vo rivāyat meñ band the
be-bahra jo gad.he the taraqqī-pasand the
ek raat main ne KHwab mein dekha ye majra
ek ja pe ho raha hai gadhon ka mushaere
wo nile pile qumqume maidan hara-bhara
baiTha hai farsh-e-sabz pe ek surmai gadha
jitne gadhe hain sab ke taKHallus hain wahiyat
kone mein baiThi dum ko hilati hain KHarriyat
kuchh moTe taze KHar the kai laghar-o-nahif
kuchh fanne-KHan gadhe the kai mehrban sharif
kuchh aise-waise aur kai shaeri ke chief
sarqa-pasand aaTh the aur das ghazal ke thief
Dhenchu mein jin ki rang tha wo sare hiT gae
waqif na the jo sat suron se wo piT gae
ba-hosh jo gadhe the wo baiThe gadhi ke pas
'saghar' bhi ja ke baiTh gae ras-bhari ke pas
kaddu sa sar liye hue chhappan-chhuri ke pas
ismat tha jis ka nam wo baiThi dari ke pas
barfi si thuthni pe likhe band dosto
munh mein zaban hai ki shakarqand dosto
sidhi kanautiyon mein wo bandon ki aab-o-tab
aawaz-e-shoala-war mein mahakti hui sharab
palkon ki chilmanon mein chhupe raushni ke KHwab
toDe paDa tha jism ko uThta hua shabab
qadren thin jin ke pas wo sar ko jhukae the
jo manchale gadhe the wo thuthan uThae the
mike pe aa ke shor machate hue gadhe
panon ki ja pe ghas chabaate hue gadhe
tirshul zehn o dil pe chalate hue gadhe
diwar nafraton ki uThate hue gadhe
jo the uruz-dan wo riwayat mein band the
be-bahra jo gadhe the taraqqi-pasand the
- Book : kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 307)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.